Banarasidasa (=Banarsidas, =Banarasi Biholia):
Ardhakathanaka (=Ardh kathanak) [a 17th cent. autobiography in Hindi]
Based on the ed. by Nathuram Premi, Bombay, Hindi Grantha Ratnakara, 1957.



Input by Jérôme Petit



BASED ON THE CSX+ VERSION [which distinguishes between vocalic r (r̥) and retroflex flap (ṛ)!]


ITALICS for headings / metres



THIS GRETIL TEXT FILE IS FOR REFERENCE PURPOSES ONLY!
COPYRIGHT AND TERMS OF USAGE AS FOR SOURCE FILE.

Text converted to Unicode (UTF-8).
(This file is to be used with a UTF-8 font and your browser's VIEW configuration
set to UTF-8.)
description: multibyte sequence:
long a ā
long A Ā
long i ī
long I Ī
long u ū
long U Ū
vocalic r
vocalic R
long vocalic r r̥̄
vocalic l
long vocalic l l̥̄
long vocalic l
velar n
velar N
palatal n ñ
palatal N Ñ
retroflex t
retroflex T
retroflex d
retroflex D
retroflex n
retroflex N
palatal s ś
palatal S Ś
retroflex s
retroflex S
anusvara
anunasika
visarga
long e ē
long o ō
l underbar
r underbar
n underbar
k underbar
t underbar
nasalized a ã
nasalized long a ā̃
nasalized i ĩ
i dieresis ï
nasalized long i ī̃
nasalized u ũ
u dieresis ü
nasalized long u ū̃
nasalized e
e breve ĕ
nasalized o õ
o breve ŏ
intervocalic y
voiceless fricative k‍h̲
(in Nagari: kh underdot)
flapped r
Unless indicated otherwise, accents have been dropped in order
to facilitate word search.

For a comprehensive list of GRETIL encodings and formats see:
http://gretil.sub.uni-goettingen.de/gretil/gretdiac.pdf
and
http://gretil.sub.uni-goettingen.de/gretil/gretdias.pdf








doharā

pāni-jugula-puṭa sīsa dhari, māni apanapau dāsa.
āni bhagati cita jāni Prabhu, bandaũ Pāsa-Supāsa. // BAk_1 //


savaiyā ikatīsā. Banārasī nagarī kī siphatha

Gaṅga mā̃hi āi dhasī dvai nadī Barunā Asī,
bīca basī Banārasī nagarī bakhānī hai.
Kasīvāra desa madhya gā̃u tātaĩ Kāsī nā̃u,
śrī Supāsa-Pāsa kī janama-bhūmi mānī hai.
tahā̃ duhū Jina Siva-māraga pragaṭa kīnau,
taba setī Sivapurī jagata maĩ jānī hai.
aisī bidhi nāma thape nagarī Banārasī ke,
aura bhānti kahai so tau mithyāmata-bānī hai. // BAk_2 //


doharā

jina-pahirī-Jina-janamapura-nāma-mudrikā-chāpa.
so Banārasī nija kathā, kahai āpa saũ āpa. // BAk_3 //


caupaī

jaina-dharma Śrīmāla subaṃsa. Bānārasī nāma nara-haṃsa.
tina mana mā̃hi bicārī bāta. kahaũ āpanī kathā bikhyāta. // BAk_4 //

jaisī sunī bilokī naina. taisī kachū kahaũ mukha-baina.
kahaũ atīta-doṣa-guṇa-vāda. baratamāna tā̃ī marajāda. // BAk_5 //

bhāvī dasā hoigī jathā. gyānī jānai tisa kī kathā.
tātaĩ bhaī bāta mana āni. thūla-rūpa kachu kahaũ bakhāni. // BAk_6 //

Madhyadesa kī bolī boli. garbhita bāta kahaũ hiya kholi.
bhākhū̃ pūraba-dasā-caritra. sunahu kāna dhari mere mitra. // BAk_7 //


doharā

yāhī Bharata sukheta maĩ, Madhyadesa subha ṭhā̃u.
basai nagara Rohataga-pura, nikaṭa Biholī-gā̃u. // BAk_8 //

gā̃u Biholī maĩ basai, rāja-baṃsa rajapūta.
te guru-mukha jainī bhae, tyāgi karama adabhūta. // BAk_9 //

pahirī mālā mantra kī, pāyau kula Śrīmāla.
thāpyau gota Biholiā, Bīholī-rakhapāla. // BAk_10 //

bhaī bahuta baṃsāvalī, kahaũ kahā̃ laũ soi.
pragaṭe pura Rohataga maĩ, Gāṅgā Gosala doi. // BAk_11 //

tina ke kula Bastā bhayau, jā kau jasa paragāsa.
Bastapāla ke Jeṭhamala, Jeṭhū ke Jinadāsa. // BAk_12 //

Mūladāsa Jinadāsa ke, bhayau putra paradhāna.
paṛhyau hindugī pārasī, bhāgavāna balavāna. // BAk_13 //

Mūladāsa Bīholiā, banika vr̥tti ke bhesa.
modī hvaikai Mugala kau, āyau Mālava-desa. // BAk_14 //


caupaī

Mālava-desa parama sukha-dhāma. Naravara nāma nagara abhirāma.
tahā̃ Mugala pāī jāgīra. Sāhi Himāū̃ kau bara bīra. // BAk_15 //

Mūladāsa saũ bahuta kr̥pāla. karai ucāpati saũ pai māla.
sambata solaha sai jaba jāna. āṭha barasa adhike parabāna. // BAk_16 //

sāvana sita pañcamī rabibāra. Mūladāsa-ghara suta avatāra.
bhayau harakha kharace bahu dāma. Kharagasena dīnaũ yahu nāma. // BAk_17 //

sukha saũ barasa doi cali gae.Ghanamala nāma aura suta bhae.
barasa tīna jaba bīte aura. Ghanamala kāla kiyau tisa ṭhaura. // BAk_18 //


doharā

Ghanamala ghana-dala uṛi gae, kāla-pavana-sañjoga.
māta-tāta taruvara tae, lahi ātapa suta-soga. // BAk_19 //


caupaī

laghu-suta-soka kiyau asarāla. Mūladāsa bhī kīnaũ kāla.
terahottare sambata bīca. pitā-putra kaũ āī mīca. // BAk_20 //

Kharagasena suta mātā sātha. soka-biākula bhae anātha.
Mugala gayau tho kāhū gā̃u. yaha saba bāta sunī tisa ṭhā̃u. // BAk_21 //


doharā

āyau Mugala utāvalo, suni Mūlā kau kāla.
muhara-chāpa ghara khālasai, kīnau līnau māla. // BAk_22 //

mātā putra bhae dukhī, kīnau bahuta kalesa.
jyaũ tyaũ kari dukha dekhate, āe pūraba desa. // BAk_23 //


caupaī

pūraba-desa Jaunapura gā̃u. basai Gomatī-tīra suṭhā̃u.
tahā̃ Gomatī ihi bidha bahai. jyaũ dekhī tyaũ kavi-jana kahai. // BAk_24 //


doharā

prathama hi dakkhana-mukha bahī, pūraba mukha parabāha.
bahurṇ uttara-mukha bahī, Govai nadī athāha. // BAk_25 //


caupaī

Govai nadī tri-vidhi-mukha bahī. taṭa ravanīka suvistara mahī.
kula paṭhāna Jaunāsaha nā̃u. tina tahā̃ āi basāyo gā̃u. // BAk_26 //

kutabā paṛhyau chatra sira tāni. baiṭhi takhata pherī nija āni.
taba tina takhata Jaunapura nā̃u. dīnau bhayau acala so gā̃u. // BAk_27 //

cāraũ barana basaĩ tisa bīca. basahĩ chatīsa Paũni kula nīca.
bāmbhana chatrī baisa apāra. sūdra bheda chattīsa prakāra. // BAk_28 //


savaiyā ikatīsā. chattīsa paũna kathana.

sīsagara, darajī, tambolī, raṅgabāla, gvāla,
bāṛhaī, saṅgatarāsa, telī, dhobī, dhuniyā̃.
kandoī, kahāra, kāchī, kalāla, kulāla, mālī,
kundīgara, kāgadī, kisāna, paṭabuniyā̃.
citerā, bandherā, bārī, lakherā, ṭhaṭherā, rāja,
paṭuvā, chapparabandha, nāī, bhārabhuniyā̃.
sunāra, luhāra, sikalīgara, havāīgara,
dhīvara, camāra, eī chattīsa pauniyā̃. // BAk_29 //


caupaī

nagara Jaunapura bhūmi sucaṅga. maṭha maṇḍapa prāsāda utaṅga.
sobhita sapatakhane gr̥ha ghane. saghana patākā tambū tane. // BAk_30 //

jahā̃ bāvana sarāi pura-kane. āsapāsa bāvana paragane.
nagara mā̃hi bāvana bājāra. aru bāvana maṇḍaī udāra. // BAk_31 //

anukrama bhae tahā̃ nava sāhi. tina ke nā̃u kahaũ nirabāhi.
prathama sāhi Jaunāsaha jāni. dutiya Bavakkarasāhi bakhāni. // BAk_32 //

tritiya bhayau Surahara sulatāna. cauthā Dosa Mahammada jāna.
pañcama bhūpati Sāhi Nijāma. chaṭṭhama Sāhi Birāhima nāma. // BAk_33 //

sattama sāhiba Sāhi Husaina. aṭhṭhama Gājī Sajjita Saina.
navama Sāhi Bakhyā sulatāna. baratī jāsu akhaṇḍita āna. // BAk_34 //

e nava sāhi bhae tisa ṭhā̃u. yātaũ takhata Jaunapura nā̃u.
pūraba disi Paṭanā laũ āna. pacchima hadda Iṭāvā thāna. // BAk_35 //

dakkhana Bindhyācala sarahadda. uttara paramita Ghāghara nadda.
itanī bhūmi rāja vikhyāta. barisa tīni sai kī yahu bāta. // BAk_36 //

hute pubba purakhā paradhāna. tina ke bacana sune hama kāna.
baranī kathā jathā-sruta jema. mr̥ṣā-doṣa nahĩ lāgai ema. // BAk_37 //


doharā

yaha saba baranana pāchilau, bhayau sukāla bitīta.
soraha sai terai adhika, samai kathā sunu mīta. // BAk_38 //

nagara Jaunapura maĩ basai, Madanasiṅgha Śrīmāla.
jainī gota cināliyā, banajai hīrā-lāla. // BAk_39 //

Madana jaũharī kau sadanu, ḍhū̃ṛhata būjhata loga.
Kharagasena mātā-sahita, āe karama-sañjoga. // BAk_40 //

Chajamala nānā Sena kau, tā kau agraja eha.
dīnau ādara adhika tina, kīnau adhika saneha. // BAk_41 //


caupaī

Madana kahai putrī sunu ema. tumahĩ avasthā vyāpī kema.
kahai sutā pūraba biratanta. ehi bidhi mue putra ara kanta. // BAk_42 //

sarabasa lūṭi liyo jyaũ mīra. so saba bāta kahī dhari dhīra.
kahai Madana putrī saũ roi. eka putra saũ saba kichu hoi. // BAk_43 //

putrī soca na karu mana mā̃ha. sukha-dukha doū phiratī chā̃ha.
sutā dohitā kaṇṭha lagāi. lie bastra bhūkhana pahirāi. // BAk_44 //

sukha saũ rahahi na byāpai kāla. jaisā ghara taisī nana-sāla.
barisa tīni bīte iha bhānti. dina dina prīti rīti sukha sānti. // BAk_45 //

āṭha barasa kau bālaka bhayau. taba caṭasāla paṛhana kaũ gayau.
paṛhi caṭasālabhayau bitapanna. parakhai rajata-ṭakā-sovanna. // BAk_46 //

geha ucāpati likhai banāi. atto jamā kahai samujhāi.
lenā denā bidhi saũ likhai. baiṭhai hāṭa sarāphī sikhai. // BAk_47 //

barisa cyāri jaba bīte aura. taba su karai uddama kī daura.
pūraba disi Baṅgālā thāna. Sulemāna sulatāna Paṭhāna. // BAk_48 //

tā kau sālā Lodī Khāna. so tina rākhyau putra samāna.
Sirīmāla tā kau dīvāna. nā̃u Rāi Dhīnā jaga jāna. // BAk_49 //

Sīṅghaṛa gotra Baṅgāle basai. sevaĩ Sirīmāla pāñca sai.
potadāra kīe tina sarva. bhāgya-sañjoga kamāvahĩ darva. // BAk_50 //

karai bisāsa na lekhā lei. saba kaũ phārakatī likhī dei.
posaha-paṛikaũnā saũ pema. nautana geha karana kau nema. // BAk_51 //


doharā

Kharagasena Bīholiyā, sunī Rāi kī bāta.
nija mātā saũ mantra kari, cale nikasi parabhāta. // BAk_52 //

mātā kichu kharacī daī, nānā jānai nā̃hi.
le ghorā asavāra hoi, gae Rāi-jī pā̃hi. // BAk_53 //

jāi Rāi-jī kaũ milyau, kahyau sakala biratanta.
karī dilāsā bahuta tina, dharī bāta ura anta. // BAk_54 //

eka divasa kāhū samai, mana maĩ soci bicāri.
Kharagasena kaũ Rāya naĩ, die paragane cyāri. // BAk_55 //


caupāī

potadāra kīnaũ nija soi. dīnai sāthi kārakuna doi.
jāi paraganẽ kīnaũ kāma. karahi amala tahasīlahi dāma. // BAk_56 //

jori khajānā bhejahi tahā̃. Rāi tathā Lodī Khā̃ jahā̃.
ihi bidhi bīte māsa che sāta. cale sameta-sikhari kī jāta. // BAk_57 //


doharā

saṅgha calāyau Rāya-jī, diyau hukama sulatāna.
uhā̃ jāi pūjā karī, phiri āe nija thāna. // BAk_58 //

āi rāi paṭa-bhauna maĩ, baiṭhe sandhyā-kāla.
bidhi saũ sāmāika karī, līnaũ kara japa-māla. // BAk_59 //

caubihāra kari mauna dhari, japai pañca navakāra.
upajī sūla udara-viṣaĩ, hūo hāhākāra. // BAk_60 //
kahī na mukha saũ bāta kichu, lahī mr̥tyu tatakāla.
gahī aura thiti jāi tini, ḍhahī deha-dīvāla. // BAk_61 //


savaiyā teīsā

pũna sañjoga jure ratha pāika, māte mataṅga turaṅga tabele.
māni bibhau aṅgayau sira bhāra, kiyau bisatāra parigraha le le.
bandha baṛhāi karī thiti pūrana, anta cale uṭhi āpu akele.
hāre hamāla kī poṭa-sī ḍārikai, aura divāla kī oṭa ho khele. // BAk_62 //


caupaī

ehi bidhi Rāi acānaka muā. gā̃u gā̃u kolāhala huā.
Kharagasena suni yahu biratanta. gayau bhāgi ghara tyāgi turanta. // BAk_63 //

kīnaũ dukhī daridrī bhekha. līnaũ ūbaṭa pantha adekha.
nadī gā̃u bana parabata ghūmi. āe nagara Jaunapura-bhūmi. // BAk_64 //

rajanī samai geha nija āi. gurujana-caranana maĩ sira nāi.
kichu antara-dhanu hutau ju sātha. so dīnaũ mātā ke hātha. // BAk_65 //

ehi bidhi barasa cyāri cali gae. barasa aṭhāraha ke jaba bhae.
kiyau gavana taba pacchima disā. saṃvata solaha sai chabbisā. // BAk_66 //

āe nagara Āgare mā̃hi. Sundaradāsa pītiā pā̃hi.
Kharagasena saũ rākhai prema. karai sarāphī becai hema. // BAk_67 //

Kharagasena bhī thailī karī. duhū milāi dāma saũ bharī.
doū sīra karahĩ bepāra. kalā nipuna dhanavanta udāra. // BAk_68 //

ubhaya paraspara prīti gahanta. pitā putra saba loga kahanta.
barasa cyāri aisī bidhi bhae. taba Meraṭhi-pura byāhana gae. // BAk_69 //


chappai

Sūradāsa ŚrīmālaḌhora Meraṭhī kahāvai.
tā kī sutā biyāhi, Sena Argalapura āvai.
āi hāṭa baiṭhe kamāi, kīnī nija sampati.
cācī saũ nahĩ banī, liyau nyāro ghara dampati.
isa bīci barasa dvai tīni maĩ, Sundaradāsa kalatra-juta.
mari gae tyāgi dhana dhāma saba, sutā eka, nahĩ kou suta. // BAk_70 //

doharā

sutā kumārī jo hutī, so paranāī Seni.
dāna māna bahu-bidhi diyau, dīnī kañcana rẽni. // BAk_71 //

sampati Sundaradāsa kī, ju kachu likhī mili pañca.
so saba dīnī bahini kaũ, Sena na rākhī rañca. // BAk_72 //

tetīsai sambata samai, gae Jaunapura gāma.
eka turaṅgama eka ratha, bahu pāika bahu dāma. // BAk_73 //

dina dasa bīte Jaunapura, nagara mā̃hi kari hāṭa.
sājhī kari baiṭhe turita, kiyau banaja kau ṭhāṭa. // BAk_74 //


caupaī

Rāmadāsa baniā dhanapatī. jāti agarabālā siva-matī.
so sājhī kīnaũ hita māna. prīti rīti paratīti milāna. // BAk_75 //

karahĩ sarāphī doū gunī. banajahĩ motī mānika cunī.
sukha saũ kāla bhalī bidhi gamai. solaha sai paintīsa samai. // BAk_76 //

Kharagasena ghara suta avataryau. kharacyau daraba harasa mana dharyau.
dina dasama pahucyau paraloka. kīnā prathama putra kau soka. // BAk_77 //

saintīsai sambata kī bāta. Ruhataga gae satī kī jāta.
coranha lūṭi liyau patha mā̃hi. sarvasa gayau rahmau kachu nā̃hi. // BAk_78 //

rahe bastra aru dampati-deha. jyaũ tyaũ kari āe nija geha.
gae hute māṅgana kaũ pūta. yahu phala dīnaũ satī aūta. // BAk_79 //

taū na samujhe mithyā bāta. phiri mānī unahī kī jāta.
pragaṭa rūpa dekhai saba phoka. taū na samujhai mūrakha loka. // BAk_80 //

ghara āe phira baiṭhe hāṭa.Madanasiṅgha cita bhae ucāṭa.
māyā tajī bhaī sukha sānti. tīna barasa bīte isa bhānti. // BAk_81 //

sambata solaha sai ikatāla. Madanasiṅgha naĩ kīnaũ kāla.
dharma-kathā phailī saba ṭhaura. barasa doi jaba bīte aura. // BAk_82 //

taba sudhi karī satī kī bāta. Kharagasena phira dīnī jāta.
sambata solaha sai tetāla. māgha māsa sita pakṣa rasāla. // BAk_83 //

ekādasī bāra rabinanda. nakhata rohinī vr̥ṣa kau canda.
rohini tritiya carana anusāra. Kharagasena-ghara suta avatāra. // BAk_84 //

dīnaũ nāma Vikramājīta. gāvahĩ kāmini maṅgala-gīta.
dījahi dāna bhayau ati harṣa. janamyau putra āṭhaẽ varṣa. // BAk_85 //

ehi bidhi bīte māsa che sāta. cale su Pārśvanātha kī jāta.
kula kuṭumba saba līnau sātha. bidhi saũ pūje Pārasanātha. // BAk_86 //

pūjā kari jore juga pāni. āgẽ bālaka rākhyau āni.
taba kara jori pujārā kahai. bālaka carana tumhāre gahai. // BAk_87 //

cirañjīvi kījai yaha bāla. tumha saranāgata ke rakhapāla.
isa bālaka para kījai dayā. aba yahu dāsa tumhārā bhayā. // BAk_88 //

taba su pujārā sādhaipauna. mithyā dhyāna kapaṭa kī mauna.
ghaṛī eka jaba bhaī bitīta. sīsa ghumāi kahai sunu mīta. // BAk_89 //

supinantara kichu āyau mohi. so saba bāta kahaũ maĩ tohi.
prabhu Pārasa-jinavara kau jaccha. so mo pai āyauparataccha. // BAk_90 //

tina yahu bāta kahī mujha pā̃hi. isa bālaka kaũ cintā nā̃hi.
jo prabhu Pāsa-janama kau gā̃u. so dījai bālaka kau nā̃u. // BAk_91 //

tau bālaka cirajīvī hoi. yahu kahi lopa bhayau sura soi.
jaba yahu bāta pujāre kahī. Kharagasena jiya jānī sahī. // BAk_92 //


doharā

haraṣita kahai kuṭumba saba, svāmī Pāsa Supāsa.
duhu kau janama Banārasī, yahu Banārasīdāsa. // BAk_93 //


caupaī

ehi bidhi dhari bālaka kau nā̃u. āe palaṭi Jaunapura gā̃u.
sukha samādhi saũ baratai bāla. sambata solaha sai aṭhatāla. // BAk_94 //

pūraba karama udai sañjoga. bālaka kaũ saṅgrahanī roga.
upajyau auṣadha kīnī ghanī. taū na bithā jāi sisutanī. // BAk_95 //

barasa eka dukha dekhyau bāla. sahaja samādhi bhaī tatakāla.
bahurṇ barasa eka laũ bhalā. pañcāsai nikasī sītalā. // BAk_96 //


doharā

bithā sītalā upasamī, bālaka bhayau aroga.
Kharagasena ke ghari sutā, bhaī karama-sañjoga. // BAk_97 //


caupaī

āṭha barasa kau hūo bāla. vidyā paṛhana gayau caṭasāla.
gura pāṇṛe saũ vidyā sikhai. akkhara bāñcai lekhā likhaĩ. // BAk_98 //

barasa eka laũ vidyā paṛhī. dina dina adhika adhika mati baṛhī.
vidyā paṛhi hūo bitapanna. sambata solaha sai bāvanna. // BAk_99 //


doharā

Kharagasena banija ratana, hīrā mānika lāla.
isa antara nau barasa kau, bhayau Banārasi bāla. // BAk_100 //

Khairābāda nagara basai, Tāmbī Parabata nāma.
tāsu putra Kalyānamala, eka sutā tasa dhāma. // BAk_101 //

tāsu purohita āio, līnaĩ nāū sātha.
putra likhata Kalyāna kau, diyau Sena ke hātha. // BAk_102 //

karī sagāī putra kī, kīnau tilaka lilāṭa.
barasa doi uparānta likhi, lagana byāha kau ṭhāṭa. // BAk_103 //

bhaī sagāī bāvanẽ, paryau trepanẽ kāla.
mahaghā īna na pāiyau, bhayau jagata behāla. // BAk_104 //


caupaī

gayau kāla bīte dina ghane. sambata solaha sai cauvane.
māgha māsa sita pakha bārasī. cale bivāhana Bānārasī. // BAk_105 //

kari bivāha āe nija dhāma. dūjī aura sutā abhirāma.
Kharagasena ke ghara avatarī. tisa dina vr̥ddhā nānī marī. // BAk_106 //


doharā

nānī marana sutā janama, putra-badhū āgauna.
tīnaũ kāraja eka dina, bhae eka hī bhauna. // BAk_107 //

yaha saṃsāra biḍambanā, dekhi pragaṭa dukha kheda.
catura citta tyāgī bhae, mūṛha na jānahi bheda. // BAk_108 //


caupaī

ihi bidhi doi māsa bītiyā. āyau dulihini kau pītiyā.
Tārācanda nāma Śrīmāla. so le calyau bhatījī nāla. // BAk_109 //

Khairābāda nagara so gayau. ihā̃ Jaunapura bītika bhayau.
bipadā udai bhaī isa bīca. pura-hākima Nauvāba Kilīca. // BAk_110 //


doharā

tina pakare saba jaũharī, die koṭherī mā̃hi.
baṛī bastu māṅgai kachū, so tau ina pai nā̃hi. // BAk_111 //

eka divasa tini kopa kari, kiyau hukama uṭhi bhora.
bāndhi bāndhi saba jaũharī, khaṛe kie jyaũ cora. // BAk_112 //

hane kaṭīle korare, kīne mr̥taka samāna.
die choṛa tisa bāra tina, āe nija nija thāna. // BAk_113 //

āi sabani kīnau matau, bhāgi jāhu taji bhauna.
nija nija parigaha sātha le, parai kāla-mukha kauna. // BAk_114 //


caupaī

yahu kahi bhinna bhinna saba bhae. phūṭi phāṭikai cahũ-disi gae.
Kharagasena lai nija parivāra. āe pacchima Gaṅgā-pāra. // BAk_115 //

nagarī Sāhijādapura nā̃u. nikaṭa Kaṛā Mānikapura gā̃u.
āe Sāhijādapura bīca. barasai megha bhaī ati kīca. // BAk_116 //



nisā andherī barasā ghanī. āi sarāi base gr̥ha-dhanī.
Kharagasena saba parijana sātha. karahĩ rudana jyaũ dīna anātha. // BAk_117 //


doharā

putra kalatra sutā jugala, aru sampadā anūpa.
bhoga-antarāī-udai, bhae sakala dukha-rūpa. // BAk_118 //


caupaī

isa avasara tisa pura thāniyā. Karamacanda Māhura bāniyā.
tina apanaũ ghara khālī kiyau. āpu nivāsa aura ghara liyau. // BAk_119 //

bhaī bitīta rẽni ika jāma. ṭerai Kharagasena kau nāma.
ṭerata būjhata āyau tahā̃. Kharagasenajī baiṭhe jahā̃. // BAk_120 //

"Rāma-Rāma" kari baiṭhyau pāsa. bolyau "tuma sāhaba maĩ dāsa.
calahu kr̥pā kari mere saṅga. maĩ sevaka tuma caṛhau turaṅga. // BAk_121 //

jathā-joga hai ḍerā eka. calie tahā̃ na kījai ṭeka".
āe hita saũ tāsu niketa. Kharagasena parivāra-sameta. // BAk_122 //

baiṭhe sukha saũ kari viśrāma. dekhyau ati vicitra so dhāma.
kore kalasa dhare bahu māṭa. cādari sori tulāī khāṭa. // BAk_123 //

bharayau īna saũ koṭhā eka. bhakhya padāratha aura aneka.
sakala bastu pūrana kari geha. tina dīnaũ kari bahuta saneha. // BAk_124 //

Kharagasena haṭha kīnai mahā. carana pakari tina kīnī hahā.
ati āgraha kari dīnau sarva. binaya bahuta kīnī taji garva. // BAk_125 //


doharā

ghana barasai pāvasa samai, jina dīnau nija bhauna.
tā kī mahimā kī kathā, mukha saũ baranai kauna. // BAk_126 //


caupaī

Kharagasena tahā̃ sukha saũ rahai. dasā bicāri kabīsura kahai.
vaha dukha diyau navāba Kilīca. yaha sukha Sāhijādapura-bīca. // BAk_127 //

eka diṣṭi bahu antara hoi. eka diṣṭi sukha-dukha sama doi.
jo dukha dekhaiso sukha lahai. sukha bhuñjai soī dukha sahai. // BAk_128 //


doharā

sukha maĩ mānai maĩ sukhī, dukha maĩ dukhamaya hoi.
mūṛha puruṣa kī diṣṭi maĩ, dīsai sukha dukha doi. // BAk_129 //

gyānī sampati vipati maĩ, rahai eka-sī bhānti.
jyaũ rabi ūgata āthavata, tajai na rātī kānti. // BAk_130 //

Karamacanda Māhura banika, Kharagasena Śrīmāla.
bhae mitra doū puruṣa, rahaĩ rayani dina nāla. // BAk_131 //

ihi bidhi kīnau māsa dasa, Sāhijādapura bāsa.
phira uṭhi cale Prayāga-pura, basai tribeṇī pāsa. // BAk_132 //


caupaī

basai Prayāga tribeṇī pāsa. jā kau nā̃u Ilāhābāsa.
tahā̃ Dāni vasudhā-purahūta. Akabara pātisāha kau pūta. // BAk_133 //

Kharagasena tahā̃ kīnau gaũna. rojagāra kārana taji bhāna.
Banārasī bālaka ghari rahyau. kauṛī-beca banija tina gahyau. // BAk_134 //

eka ṭakā dvai ṭakā kamāi. kāhū kī nā dharai tamāi.
jorai naphā ekaṭhā karai. lai dādī ke āgẽ dharai. // BAk_135 //


doharā

dādī bāṇṭai sīranī, lāḍū nukatī nitta.
prathama kamāī putra kī, satī aūta nimitta. // BAk_136 //


caupaī

dādī mānai satī aūta. jānai tina dīnau yaha pūta.
dekha supina karai jaba saina. jāge kahai pitara ke baina. // BAk_137 //

tāsu bicāra karai dina rāti. aisī mūṛha jīva kī jāti.
kahata na banai kahai kā koi. jaisī mati taisī gati hoi. // BAk_138 //


doharā

māsa tīni auraũ gae, bīte teraha māsa.
cīṭhī āī Sena kī, karahu Phatepura bāsa. // BAk_139 //

ḍolī dvai bhāṛai karī, kīnaĩ cyāri majūra.
sahita kuṭumba Banārasī, āe Phattepūra. // BAk_140 //


caupaī

Phattepura maĩ āe tahā̃. Osavāla ke ghara haĩ jahā̃.
Bāsū sāha Adhyātama-jāna. basai bahuta tinha kī santāna. // BAk_141 //

Bāsū-putra Bhagautīdāsa. tina dīnau tinha kau āvāsa.
tisa mandira maĩ kīnau bāsa. sahita kuṭamba Banārasidāsa. // BAk_142 //


doharā

sukha samādhi saũ dina gae, karata su keli bilāsa.
cīṭhī āī bāpa kī, cale Ilāhābāsa. // BAk_143 //

cale Prayāga Banārasī, rahe Phatepura loga.
pitā-putra doū mile, ānandita bidhi-joga. // BAk_144 //


caupaī

Kharagasena jaũharī udāra. karai jabāhara kau bepāra.
Dāni sāhi-jī kī sarakāra. levā deī roka-udhāra. // BAk_145 //

cāri māsa bīte isa bhānti. kabahū̃ dukha kabahū̃ sukha sānti.
phiri āe Phattepura gā̃u. sakala kuṭamba bhayau ika ṭhā̃u. // BAk_146 //

māsa doi bīte isa bīca. sunī Āgare gayau Kilīca.
Kharagasena parivāra-sameta. phiri āe āpanai niketa. // BAk_147 //

jahā̃ tahā̃ saũ saba jaũharī. pragaṭe jathā gupata bhaũharī.
sambata solaha sai chappanai. loge saba kāraja āpanai. // BAk_148 //

barasa eka laũ baratī chema. āe sāhiba Sāhi Salema.
baṛā sāhijādā jagabanda. Akabara pātisāhi kau nanda. // BAk_149 //

ākheṭaka Kolhūbana kāja. pātisāhi kī bhaī avāja.
hākima ihā̃ Jaunapura thāna. laghu Kilīca Nūrama Sulatāna. // BAk_150 //

tāhi hukama Akabara kau bhayau. sahijādā Kolhūbana gayau.
tātaĩ so kichūkara tū jema. Kolhūbana nahĩjāya Salema. // BAk_151 //

ehi bidhi Akabara kau phuramāna. sīsa caṛhāyau Nūrama Khāna.
taba tina nagara Jaunapura bīca. bhayau gaṛhapatī ṭhānī mīca. // BAk_152 //

jahā̃ tahā̃ rūdhī saba bāṭa. nā̃u na calai gaumatī-ghāṭa.
pula daravāje die kapāṭa. kīnau tina vigraha kau ṭhāṭha. // BAk_153 //

rākhe bahu pāyaka asabāra. cahu disi baiṭhe caukīdāra.
koṭa kaṅgūrenha rākhī nāla. pura maĩ bhayau ūcalācāla. // BAk_154 //

karī bahuta gaṛha sañjovanī. īna bastra jala kī ḍhovanī.
jiraha jīna bandūka apāra. bahu dārū nānā hathiyāra. // BAk_155 //

kholi khajānā kharacai dāma. bhayau āpu sanamukha saṅgrāma.
prajā-loga saba byākula bhae. bhāge cahū aura uṭhi gae. // BAk_156 //

mahā nagari so bhaī ujāra. aba āī aba āī dhāra.
saba jaũharī mile ika ṭhaura. nagara mā̃hi nara rahyau na aura. // BAk_157 //

kyā kījai aba kauna bicāra. musakila bhaī sahita paribāra.
rahe na kusala na bhāge chema. pakarī sāmpa chachūndari jema. // BAk_158 //

taba saba mili Nūrama ke pāsa. gae jāi kīnī aradāsa.
Nūrama kahai sunahu re sāhu. bhāvai ihā̃ rahau kai jāhu. // BAk_159 //

merau marana banyau hai āi. maĩ kyā tuma kaũ kahaũ upāi.
taba saba phiri āe nija dhāma. bhāgahu jo kichu karahi so Rāma. // BAk_160 //


doharā

āpu āpa kaũ saba bhage, ekahi eka na sātha.
koū kāhū kī sarana, koū kahū̃ anātha. // BAk_161 //


caupaī

Kharagasena āe tisa ṭhā̃u. Dūlaha Sāhu gae jisa gā̃u.
Lachimanapurā gā̃u ke pāsa. tahā̃ caudharī lachimanadāsa. // BAk_162 //

tina lai rākhe jaṅgala mā̃hi. kīnaũ kaula bola dai bā̃hi.
ihi bidhi bīte divasa cha sāta. sunī Jaunapura kī kusalāta. // BAk_163 //

Sāhi Salema Gomatī tīra. āyau taba paṭhayau ika mīra.
Lālābega mīra kau nā̃u. hvai vakīla āyau tisa ṭhā̃u. // BAk_164 //

narama garama kahi ṭhāṛhau bhayau. Nūrama kaũ libāi lai gayau.
jāi sāhi ke ḍārau pāi. nirabhai kiyau gunaha bakasāi. // BAk_165 //

jaba yaha bāta sunī isa bhānti. taba saba ke mana baratī sānti.
phiri āe nija nija ghara loga. nirabhai bhae gayau bhaya-roga. // BAk_166 //

Kharagasena aru Dūlaha Sāha. inahū pakarī ghara kī rāha.
sa-parivāra āe nija dhāma. lāge āpa āpane kāma. // BAk_167 //

isa avasara Bānārasī bāla. bhayau pravā̃na caturdasa sāla.
paṇḍita Devadatta ke pāsa. kichu vidyā tina karī abhyāsa. // BAk_168 //

paṛhī Nāmamālā sai doi. aura Anekāratha avaloi.
jotisa alaṅkāra laghu-koka. khaṇḍa-sphuṭa sai cyāri siloka. // BAk_169 //

vidyā paṛhi vidyā maĩ ramai. solaha sai satāvane samai.
taji kula-kāna loka kī lāja. bhayau Banārasi āsikha-bāja. // BAk_170 //

karai āsikhī dhari mana dhīra. darada-banda jyaũ sekha phakīra.
ikaṭaka dekhi dhyāna so dharai. pitā āpane kau dhana harai. // BAk_171 //

corai cū̃nī mānika manī. ānai pāna miṭhāī ghanī.
bhejai pesakasī hita pāsa. āpu garība kahāvai dāsa. // BAk_172 //

isa antara cau-māsa bitīta. āī hima-ritu byāpī sīta.
Kharatara Abhaidharama ubajhāi. doi siṣya-juta prakaṭe āi. // BAk_173 //

Bhānacanda muni catura viśeṣa. Rāmacanda bālaka gr̥ha-bheṣa.
āe jatī Jaunapura mā̃hi. kula śrāvaka saba āvahĩ jā̃hi. // BAk_174 //

lakhi kula-dharama Banārasi bāla. pitā sātha āyau posāla.
Bhānacanda saũ bhayau saneha. dina posāla rahai nisi geha. // BAk_175 //

Bhānacanda pai vidyā sikhai. Pañcasandhi kī racanā likhai.
paṛhai sanātara-bidhi astona. phuṭa siloka bahu kauna. // BAk_176 //

sāmāika paḍikaunā pantha. Chandakosa Srutabodha garantha.
ityādika vidyā mukha-pāṭha. paṛhai suddha sādhai guna āṭha. // BAk_177 //

kabahū āi sabada ura dharai. kabahū jāi āsikhī karai.
pothī eka banāī naī. mita hajāra dohā caupaī. // BAk_178 //

tā maĩ Navarasa-racanā likhī. pai bisesa baranana āsikhī.
aise kukabi Banārasi bhae. mithyā grantha banāe nae. // BAk_179 //


doharā

kai paṛhanā kai āsikhī, magana duhū rasa mā̃hī.
khāna-pāna kī sudha nahī̃, rojagāra kichu nā̃hi. // BAk_180 //


caupaī


aisī dasā barasa dvai rahī. māta pitā kī sīkha na gahī.
kari āsikhī pāṭha saba paṭhe. sambata solaha sai unasaṭhe. // BAk_181 //


doharā

bhae pañca-dasa barasa ke, tisa ūpara dasa māsa.
cale pāujā karana kaũ, kavi Banārasīdāsa. // BAk_182 //

caṛhi ḍolī sevaka lie, bhūṣana basana banāi.
Khairābāda nagara-viṣai, sukha saũ pahuce āi. // BAk_183 //


caupaī

māsa eka jaba bhayau bitīta. pauṣa māsa sita pakha ritu sīta.
pūraba karama udai sañjoga. ākasamāta bāta kau roga. // BAk_184 //


doharā

bhayau Banārasidāsa-tanu, kuṣṭha-rūpa sarabaṅga.
hāṛa hāṛa upajī bithā, kesa roma bhuva-bhaṅga. // BAk_185 //

bisphoṭaka aganita bhae, hasta carana caur-aṅga.
koū nara sālā sasura, bhojana karai na saṅga. // BAk_186 //

aisī asubha dasā bhaī, nikaṭa na āvai koi.
sāsū aura bivāhitā, karahĩ seva tiya doi. // BAk_187 //

jala-bhojana kī lahi sudha, daĩhi āni mukha mā̃hi.
okhada lāvahĩ aṅga maĩ, nāka mūndi uṭhi jā̃hi. // BAk_188 //


caupaī

isa avasara nara nāpita koi. okhada-purī khabāvai soi.
cane alūnai bhojana doi. paisā ṭakā kichū nahi lei. // BAk_189 //

cāri māsa bīte isa bhānti. taba kichu bithā bhaī upasānti.
māsa doi aurau cali gae. taba Banārasī nīke bhae. // BAk_190 //


doharā

nhāi dhoi ṭhāṛhe bhae, dai nāū kaũ dāna.
hātha joṛi binatī karī, tū mujha mitra samāna. // BAk_191 //

nāpita bhayau prasīna ati, gayau āpane dhāma.
dina dasa Khairābāda maĩ, kiyau aura bisarāma. // BAk_192 //

phiri āe ḍolī caṛhe, nagara Jaunapura mā̃hi.
sāsu sasura apanī sutā, gaũne bhejī nā̃hi. // BAk_193 //

āi pitā ke pada gahe, mā̃ roī ura ṭhoki.
jaise cirī kurīja kī, tyaũ suta-dasā biloki. // BAk_194 //

Kharagasena lajjita bhae, kubacana kahe aneka.
roe bahuta Banārasī, rahe cakita china eka. // BAk_195 //

dina dasa bīsa pare dukhī, bahuri gae posāla.
kai paṛhanā kai āsikhī, pakarī pahilī cāla. // BAk_196 //


caupaī

māsi cāri aisī bidhi bhae. Kharagasena Paṭanai uṭhi gae.
phiri Banārasī Khairābāda. āe mukha lajjita sa-biṣāda. // BAk_197 //

māsa eka phiri dūjī bāra. ghara maĩ rahẽ na gae bajāra.
phiri uṭhi cale nāri lai saṅga. eka su-ḍolī eka turaṅga. // BAk_198 //
āe nagara Jaunapura pheri. kula kuṭamba saba baiṭhe gheri.
guru-jana loga daĩhi upadesa. āsikha-bāja sunẽ darabesa. // BAk_199 //

bahuta paṛhaĩ bāmbhana aru bhāṭa. banika-putra tau baiṭhe hāṭa.
bahuta paṛhai so māṅgai bhīkha. mānahu pūta baṛe kī sīkha. // BAk_200 //


doharā

ityādika svāratha bacana, kahe sabani bahu bhānti.
mānai nahī̃ Banārasī, rahyau sahaja-rasa mānti. // BAk_201 //


caupaī

phiri posāla Bhāna pai paṛhai. āsikha-bājī dina dina baṛhai.
koū kahyau na mānai koi. jaisī gati taisī mati hoi. // BAk_202 //

karmādhina Banārasi ramai. āyau sambata sāṭhā samai.
sāṭhai sambata etī bāta. bhaī ju kachū kahaũ bikhyāta. // BAk_203 //

sāṭhai kari Paṭanẽ saũ gauna. Kharagasena āe nija bhauna.
sāṭhai byāhī beṭī baṛī. bitarī pahilī sampati gaṛī. // BAk_204 //

Banārasī kaĩ beṭī huī. divasa cha-sāta mā̃hi so muī.
jahamati pare Banārasidāsa. kīnaĩ laṅghana bīsa upāsa. // BAk_205 //

lāgī chudhā pukārai soi. gurujana pathya dei nahi koi.
taba māṅgai dekhana kaũ roi. ādha sera kī pūrī doi. // BAk_206 //

khāṭa heṭha la dharī durāi. so Banārasī bhakhī curāi.
vāhī patha saũ nīkau bhayau. dekhyau logani kautuka nayau. // BAk_207 //

sāṭhai sambata kari diṛha hiyau. Kharagasena ika saudā liyau.
tā maĩ bhae saugune dāma. cahala pahala hūī nija dhāma. // BAk_208 //

yaha sāṭhe sambata kī kathā. jyaũ dekhī maĩ baranī tathā.
samai mai unasaṭhe sāvana bīca. koū sīnyāsī nara nīca. // BAk_209 //

āi milyau so ākasamāta. kahī Banārasi saũ tina bāta.
eka mantra hai mere pāsa. so bidhi-rūpa japai jo dāsa. // BAk_210 //

barasa eka laũ sādhai nitta. diṛha pratīti ānai nija citta.
japai baiṭhi charachobhī mā̃hi. bheda na bhākhai kisa hī pā̃hi. // BAk_211 //

pūrana hoi mantra jisa bāra. tisa ke phalakā kahū̃ bicāra.
prāta samaya āvai gr̥ha-dvāra. pāvai eka paṛyā dīnāra. // BAk_212 //

barasa eka laũ pāvai soi. phiri sādhai phiri aisī hoi.
yaha saba bāta Banārasi sunī. jānyā mahāpuruṣa hai gunī. // BAk_213 //

pakare pāi lobha ke lie. māṅgai mantra bīnatī kie.
taba tina dīnaũ mantra sikhāi. akkhara kāgada mā̃hi likhāi. // BAk_214 //

vaha pradesa uṭhi gayau svatantra. saṭha Banārasī sādhai mantra.
barasa eka laũ kīnau kheda. dīnaũ nā̃hi aura kaũ bheda. // BAk_215 //

barasa eka jaba pūrā bhayā. taba Banārasī dvārai gayā.
nīcī diṣṭi bilokai dharā. kahũ dīnāra na pāvai parā. // BAk_216 //

phiri dūjai dina āyau dvāra. supane nahi dekhai dīnāra.
byākula bhayau lobha ke kāja. cintā baṛhī na bhāvai nāja. // BAk_217 //

kahī Bhāna saũ mana kī dudhā. tini jaba kahī bāta yaha mudhā.
taba Banārasī jānī sahī. cintā gaī chudhā lahalahī. // BAk_218 //

jogī eka milyau tisa āi. Banārasī diyau bhaundāi.
dīnī eka saṅkholī hātha. pūjā kī sāmagrī sātha. // BAk_219 //

kahai Sadāsiva mūrati eha. pūjai so pāvai Siva-geha.
taba Banārasī sīsa caṛhāi. līnī nita pūjai mana lāi. // BAk_220 //

ṭhāni sanāni bhagati cita dharai. aṣṭa-prakārī pūjā karai.
Siva Siva nāma japai sau bāra. āṭha adhika mana harakha apāra. // BAk_221 //


doharā

pūjai taba bhojana karai, anapūjai pachitāi.
tāsu daṇḍa agile divasa, rūkhā bhojana khāi. // BAk_222 //

aisī bidhi bahu dina gae, karata gupata Śiva-pūja.
āyau sambata ikasaṭhā, caita māsa sita dūja. // BAk_223 //

sāhiba Sāhi Salīma kau, Hīrānanda mukīma.
osavāla kula jaũharī, banika bitta kī sīma. // BAk_224 //

tini Prayāga-pura nagara saũ, kīnau uddama sāra.
saṅgha calāyau sikhira kaũ, utaryau Gaṅgā-pāra. // BAk_225 //

ṭhaura ṭhaura patrī daī, bhaī khabara jita-titta.
cīṭhī āī Sena kaũ, āvahu jāta-nimitta. // BAk_226 //

Kharagasena taba uṭhi cale, hvai turaṅga asabāra.
jāi Nandajī kaũ mile, taji kuṭumba gharabāra. // BAk_227 //


caupaī

Kharagasena jātrā kaũ gae. Bānārasī niraṅkusa bhae.
karaĩ kalaha mātā saũ nitta.Pārasa-jina kī jāta nimitta. // BAk_228 //

dahī dūdha ghr̥ta cāvala cane. tela tambola pahupa anagane.
itanī bastu tajī tatakāla. pana līnau kīnau haṭha bāla. // BAk_229 //


doharā

caita mahīne pana liyau, bīte māsa cha sāta.
āī pūnyau kātikī, calai loga saba jāta. // BAk_230 //

cale siva-matī nhāna kaũ, jainī pūjana Pāsa.
tinha ke sātha Banārasī, cale Banārasidāsa. // BAk_231 //

Kāsī nagarī maĩ gae, prathama nahāe Gaṅga.
pūjā Pāsa Supāsa kī, kīnī dhari mana raṅga. // BAk_232 //

je je pana kī bastu saba, te te mola maṅgāi.
nevaja jyaũ āgẽ dharai, pūjai Prabhu ke pāi. // BAk_233 //

dina dasa rahe Banārasī, nagara Banārasa mā̃hi.
pūjā kārana dyohare, nita prabhāta uṭhi jā̃hi. // BAk_234 //

ehi bidhi pūjā Pāsa kī, kīnī bhagati-sameta.
phiri āe ghara āpanai, liẽ saṅkholī seta. // BAk_235 //

pūjā saṅkha Mahesa kī, karakai tau kichu khā̃hi.
desa videsa ihā̃ uhā̃, kabahū̃ bhūlī nā̃hi. // BAk_236 //


soraṭhā

saṅkha-rūpa Siva-deva, mahāsaṅkha Bānārasī.
doū mile abeva, sāhiba sevaka eka-se. // BAk_237 //


doharā

isa hī bīci ure pare, Kharagasena ke bhauna.
bhayau eka alapāyu suta, tāhi bakhānai kauna. // BAk_238 //


caupaī

sambata solaha sai ikasaṭhe. āe loga saṅgha saũ naṭhe.
keī ubare keī mue. keī mahā jahamatī hue. // BAk_239 //

Kharagasena Paṭanẽ maĩ āi. jahamati pare mahā dukha pāi.
upajī bithā udarama roga. phiri upasamī āubala-joga. // BAk_240 //

saṅgha sātha āe nija dhāma. Nanda Jaunapura kiyau mukāma.
Kharagasena dukha pāyau bāṭa. gharama āi pare phiri khāṭa. // BAk_241 //

Hīrānanda loga-manuhāri. rahe Jaunapura maĩ dina cāri.
pañcama divasa pāra ke bāga. chaṭṭhe dina uṭhi cale Prayāga. // BAk_242 //


doharā

saṅgha phūṭi cahũ disi gayau, āpa āpa kau hoi.
nadī nā̃va sañjoga jyaũ, bichuri milai nahĩ koi. // BAk_243 //


caupaī

ihi bidhi divasa kaiku cali gae. Kharagasena-jī nīke bhae.
sukha samādhi bīte dina ghanẽ. bīci bīci dukha jā̃hi na ganẽ. // BAk_244 //


doharā

isa avasara suta avataryau, Bānārasi ke geha.
bhava pūrana kari mari gayau, taji dullabha nara-deha. // BAk_245 //


caupaī

sambata solaha sa bāsaṭhā. āyau kātika pāvasa naṭhā.
chatrapati Akabara sāhi jalāla. nagara Āgare kīnaũ kāla. // BAk_246 //

āī khabara Jaunapura mā̃ha. prajā anātha bhaī binu nāha.
purajana loga bhae bhaya-bhīta. hirada byākulatā mukha pīta. // BAk_247 //


doharā

akasamāta Bānārasī, suni Akabara kau kāla.
sīṛhī pari baṭhyau huto, bhayau bharama cita cāla. // BAk_248 //

āi tavālā giri paryau, sakyau na āpā rākhi.
phūṭi bhāla lohū calyau, kahyau "deva" mukha-bhākhi. // BAk_249 //

lagī coṭa pākhāna kī, bhayau gr̥hāṅgana lāla.
"hāi hāi" saba kari uṭhe, māta tāta behāla. // BAk_250 //


caupaī

goda uṭhāya māi naĩ liyau. ambara jāri ghāu maĩ diyau.
khāṭa bichāi subāyau bāla. mātā rudana karai asarāla. // BAk_251 //

isa hī bīca nagara maĩ sora. bhayau udaṅgala cārihu ora.
ghara ghara dara dara die kapāṭa. haṭavānī nahĩ baiṭhe hāṭa. // BAk_252 //

bhale bastra aru bhūsana bhale. te saba gāṛe dharatī tale.
haṇḍavāī gāṛī kahũ aura. nagadī māla nibharamī ṭhaura. // BAk_253 //

ghara ghara sabani bisāhe sastra. loganha pahire moṭe bastra.
oṛhe kambala athavā khesa. nārinha pahire moṭe besa. // BAk_254 //

ūñca nīca kou na pahicāna. dhanī daridrī bhae samāna.
cori dhāri dīsai kahũ nā̃hi. yaũ hī apabhaya loga ḍarā̃hi. // BAk_255 //


doharā

dhūma-dhāma dina dasa rahī, bahurau baratī sānti.
cīṭhī āī sa-banika, samācāra isa bhānti. // BAk_256 //

prathama pātisāhī karī, bāvana barasa jalāla.
aba solaha sai bāsaṭhe, kātika hūo kāla. // BAk_257 //

Akabara kau nandana baṛau, sāhiba Sāhi Salema.
nagara Āgare maĩ takhata, baiṭhau Akabara jema. // BAk_258 //

nā̃u dharāyau Nūradī̃, Jahāṅgīra Sulatāna.
phiri duhāī mulaka maĩ, baratī jahī tahī āna. // BAk_259 //

ihi bidhi cīṭhī maĩ likhī, āī ghara ghara bāra.
phiri duhāī Jaunapura, bhayau su jaya-jaya-kāra. // BAk_260 //


caupaī

Kharagasena ke ghara ānanda. maṅgala bhayau gayau dukha-danda.
Bānārasī kiyau asanāna. kījai utsava dījai dāna. // BAk_261 //

eka divasa Bānārasidāsa. ekākī ūpara āvāsa.
baiṭhyau mana maĩ cintai ema. maĩ Siva-pūjā kīnī kema. // BAk_262 //

jaba maĩ giryau paryau murachāi. taba Siva kichū na karī sahāi.
yahu bicāri Siva-pūjā tajī. lakhī pragaṭa sevā maĩ kajī. // BAk_263 //

tisa dina saũ pūjā na suhāi. Siva-saṅkholī dharī uṭhāi.
eka divasa mitranha ke sātha. naukr̥ta pothī līnī hātha. // BAk_264 //

nadī Gomatī ke bica āi. pula ke ūpari baiṭhe jāi.
bāñce saba pothī ke bola. taba mana maĩ yahu uṭhī kalola. // BAk_265 //

eka jhūṭha jo bolai koi. naraka jāi dukha dekhai soi.
maĩ to kalapita bacana aneka. kahe jhūṭha saba sācu na eka. // BAk_266 //

kaisaĩ banai hamārī bāta. bhaī buddhi yaha ākasamāta.
yahu kahi dekhana lāgyau nadī. pothī ḍāra daī jyaũ radī. // BAk_267 //

"hāi hāi" kari bole mīta. nadī athāha mahā-bhaya-bhīta.
tā maĩ phaili gae saba patra. phiri kahu kauna karai ekatra. // BAk_268 //

gharī dvaka pachitānaĩ mitra. kahaĩ karma kī cāla vicitra.
yahu kahikaĩ saba nyāre bhae. Banārasī āpuna ghara gae. // BAk_269 //

Kharagasena suni yahu biratanta. hūe mana maĩ haraṣitavanta.
suta ke mana aisī mati jagai. ghara kī nā̃u rahī-sī lagai. // BAk_270 //


doharā
tisa dina saũ Bānārasī, karai dharama kī cāha.
tajī āsikhī phāsikhī, pakarī kula kī rāha. // BAk_271 //

kahaĩ doṣa kou na tajai, tajai avasthā pāi.
jaisaĩ bālaka kī dasā, taruna bhae miṭi jāi. // BAk_272 //

udai hota subha karama ke, bhaī asubha kī hāni.
tātaĩ turita Banārasī, gahī dharama kī bāni. // BAk_273 //


caupaī

nita uṭhi prāta jāi jina-bhauna. darasanu binu na karai dantauna.
caudaha nema birati uccarai. sāmāika paṛikaunā karai. // BAk_274 //

harī jāti rākhī paravā̃na. jāvajīva baiṅgana-pacakhāna.
pūjā-bidhi sādhai dina āṭha. paṛhai bīnatī pada mukha-pāṭha. // BAk_275 //


doharā

ihi bidhi jaina-dharama kathā, kahai sunai dina rāta.
honahāra kou na lakhai, alakha jīva kī jāta. // BAk_276 //

taba apajasī Banārasī, aba jasa bhayau vikhyāta.
āyau sambata causaṭhā, kahaũ tahā̃ kī bāta. // BAk_277 //

Kharagasena Śrīmāla kaĩ, hutī sutā dvai ṭhaura.
eka biyāhī Jaunapura, dutiya kumārī aura. // BAk_278 //

soū byāhī causaṭhe, sambata phāguna māsa.
gaī Pāḍalīpura-viṣaĩ, kari cintā-dukha-nāsa. // BAk_279 //

Bānārasi ke dūsarau, bhayau aura suta kīra.
divasa kaiku maĩ uṛi gayau, taji piñjarā sarīra. // BAk_280 //


caupaī

kabahū̃ dukha kabahū̃ sukha sānti. tīni barasa bīte isa bhānti.
lacchana bhale putra ke lakhe. Kharagasena mana mā̃hi harakhe. // BAk_281 //

sambata solaha sai satasaṭhā. ghara kau māla kiyau ekaṭhā.
khulā javāhara aura jaṛāu. kāgada mā̃hi likhyau saba bhāu. // BAk_282 //

dvai pahucī dvai mudrā banī. caubisa mānika cautisa manī.
nau nīle panne dasa-dūna. cāri ghāṇṭhi cū̃nī paracūna. // BAk_283 //

etī bastu javāhara-rūpa. ghr̥ta mana bīsa tela dvai kūpa.
lie Jaunapura hoi dukūla. mudrā dvai sata lāgī mūla. // BAk_284 //

kachu ghara ke kachu para ke dāma. roka udhāra calāyau kāma.
jaba saba sauñja bhaī taiyāra. Kharagasena taba kiyau bicāra. // BAk_285 //

suta Banārasī liyau bulāya. tā saũ bāta kahī samujhāya.
lehu sātha yahu sauñja samasta. jāi Āgare becahu basta. // BAk_286 //

aba gr̥ha-bhāra kandha tuma lehu. saba kuṭamba kaũ roṭī dehu.
yahu kahi tilaka kiyau nija hātha. saba sāmagrī dīnī sātha. // BAk_287 //


doharā

gāṛī bhāra ladāikai, ratana jatana saũ pāsa.
rākhe nija kacchā-viṣaĩ, cale Banārasidāsa. // BAk_288 //

milī sātha gāṛī bahuta, pāñca kosa nita jā̃hi.
krama krama pantha ulaṅghakari, gae Iṭāe mā̃hi. // BAk_289 //

nagara Iṭāe ke nikaṭa, kari gāṛinha kau ghera.
utare loga ujāra maĩ, hūī sandhyā-bera. // BAk_290 //

ghana ghamaṇḍi āyau bahuta, barasana lāgyau meha.
bhājana lāge loga saba, kahā̃ pāie geha. // BAk_291 //

sauri uṭhāi Banārasī, bhae payāde pāu.
āe bīci sarāi maĩ, utare dvai umbarāu. // BAk_292 //

bhaī bhīra bājāra maĩ, khālī kou na hāṭa.
kahū̃ ṭhaura nahĩ pāie, ghara ghara die kapāṭa. // BAk_293 //

phirata phirata phāvā bhae, baiṭhana kahai na koi.
talai kīca saũ paga bhare, ūpara barasai toi. // BAk_294 //

andhakāra rajanī samai, hima ritu agahana māsa.
nāri eka baiṭhana kahyau, puruṣa uṭhyau lai bāṃsa. // BAk_295 //

tini uṭhāi dīnaĩ bahuri, āe gopura pāra.
tahā̃ jhaumparī tanaka-sī, baiṭhe caukīdāra. // BAk_296 //

āe tahā̃ Banārasī, aru śrāvaka dvai sātha.
te būjhaĩ tuma kauna hau, duḥkhita dīna anātha. // BAk_297 //

tina saũ kahai Banārasī, hama byaupārī loga.
binā ṭhaura vyākula bhae, phiraĩ karama sañjoga. // BAk_298 //


caupaī

taba tinaka cita upajī dayā. kahaĩ ihā̃ baiṭhau kari mayā.
hama sakāra apane ghara jā̃hi. tuma nisi basau jhaumparī mā̃hi. // BAk_299 //

aũraũ sunau hamārī bāta. sariyati khabari bhaẽ parabhāta.
binu tahakīka jāna nahi dehi. taba bakasīsa dehu so lehi. // BAk_300 //

mānī bāta Banārasi tāma. baiṭhe tahī pāyau viśrāma.
jala maṅgāikai dhoe pāu. bhīje bastranha dīnī bāu. // BAk_301 //

trina bichāe soe tisa ṭhaura. puruṣa eka jorāvara aura.
āyau kahai ihā̃ tuma kauna. yaha jhaumparī hamārau bhauna. // BAk_302 //

saina karaũ maĩ khāṭa bichāi. tuma kisa ṭhāhara utare āi.
kai tau tuma aba hī uṭhi jāhu. kai tau merī cābuka khāhu. // BAk_303 //

taba Banārasī hvai halabale. barasata mehu bahuri uṭhi cale.
uni dayāla hoi pakarī bā̃ha. phiri baiṭhāe chāyā mā̃ha. // BAk_304 //

dīnau eka purāno ṭāṭa. ūpara āni bichāī khāṭa.
kahai ṭāṭa para kījai saina. mujhe khāṭa binu parai na caina. // BAk_305 //

"evam astu" Bānārasi kahai. jaisī jāhi parai so sahai.
jaisā kātai taisā bunai. jaisā bovai taisā lunai. // BAk_306 //

puruṣa khāṭa para soyā bhale. tīnau janẽ khāṭa ke tale.
soe rajanī bhaī bitīta. oṛhī sauri na byāpī sīta. // BAk_307 //

bhayau prāta āe phiri tahā̃. gāṛī saba utarī hī jahā̃.
barasā gaī bhaī sukha sānti. phiri uṭhi cale nitya kī bhānti. // BAk_308 //

āe nagara Āgare bīca. tisa dina phiri barasā aru kīca.
kaparā tela ghīu dhari pāra. āpu chare āe ura pāra. // BAk_309 //

mana cintavai Banārasidāsa. kisa disi jā̃hi kahā̃ kisa pāsa.
soci soci yaha kīnau ṭhīka. Motī-kaṭakā kiyau raphīka. // BAk_310 //

tahā̃ Cāmpasī ke ghara pāsa. laghu bahaneū Bandīdāsa.
tisa ke ḍerai jāi turanta. sunie "bhalā sagā aru santa". // BAk_311 //

yaha bicāri āe tisa pā̃hi. bahaneū ke ḍere mā̃hi.
hita saũ būjhai Bandīdāsa. kaparā ghīu tela kisa pāsa. // BAk_312 //

taba Banārasī bolai kharā. udharana kī koṭhī maũ dharā.
divasa kaiku jaba bīte aura. ḍerā judā liyā ika ṭhaura. // BAk_313 //

paṭa-gaṭharī rākhī tisa mā̃hi. nitya nakhāse āvahi jā̃hi.
bastra beci jaba lekhā kiyā. byāja-mūra dai ṭoṭā diyā. // BAk_314 //

eka divasa Bānārasidāsa. gae pāra udharana ke pāsa.
becā ghīū tela saba jhāri. baṛhatī naphā rupaiyā cyāri. // BAk_315 //

huṇḍī āī dīnaĩ dāma. bāta uhā̃ kī jānai Rāma.
beñci khoñci āe ura pāra. bhae jabāhara beñcana-hāra. // BAk_316 //

dehĩ tāhi jo māṅgai koi. sādhu kusādhu na dekhai ṭoi.
koū bastu kahū̃ lai joi. koū lei giraũ dhari khāi. // BAk_317 //

nagara Āgare kau byaupāra. mūla na jānai mūṛha gīvāra.
āyau udai asubha kau jora. ghaṭatī hota calī cahu ora. // BAk_318 //


doharā

nāre mā̃hi ijāra ke, bandhyau hutau dula myāna.
nārā ṭūṭyau giri paryau, bhayau prathama yaha gyāna. // BAk_319 //

khulau jabahāra jo hutau, so saba thau usa mā̃hi.
lagī coṭa gupatī sahī, kahī na kisa hī pā̃hi. // BAk_320 //

mānika nāre ke pale, bāndhyau sāṭi ucāṭi.
dharī ijāra alaṅganī, mūsā lai gayau kāṭi. // BAk_321 //

pahuñcī doi jaṛāu kī, baiñcī gāhaka pā̃hi.
dāma karorī lei rahyau, pari devāle mā̃hi. // BAk_322 //

mudrā eka jaṛāu kī, aisaĩ ḍārī khoi.
gāṇṭhi deta khālī parī, girī na pāī soi. // BAk_323 //

reja-parejī bastu kachu, bugacā bāge doi.
haṇḍavāī ghara maĩ rahī, aura bisāti na koi. // BAk_324 //


caupaī

ihi bidhi udai bhayau jaba pāpa. halahalāikai āī tāpa.
taba Banārasī jahamati pare. laṅghana dasa nikorare kare. // BAk_325 //

phira patha līnaũ nīke bhae. māsa eka bājāra na gae.
Kharagasena kī cīṭhī ghanī. āvahĩ pai na dei āpanī. // BAk_326 //


doharā

Uttamacanda jabāharī, Dūlaha kau laghu pūta.
so Banārasī kā baṛā, bahaneū aribhūta. // BAk_327 //

tini apane ghara kaũ die, samācāra likhi lekha.
pūñjī khoi Banārasī, bhae bhikhārī bhekha. // BAk_328 //

uhā̃ Jaũnapura maĩ sunī, Kharagasena yaha bāta.
hāi hāi kari āi ghara, kiyau bahuta utapāta. // BAk_329 //

kalaha karī nija nāri saũ, kahī bāta dukha roi.
hama tau prathama kahī hutī, suta āvai ghara khoi. // BAk_330 //

kahā hamārā saba thayā, bhayā bhikhārī pūta.
pūñjī khoī behayā, gayā banaja kā sūta. // BAk_331 //

bhae nirāsa usāsa bhari, kari ghara maĩ baka-bāda.
suta Banārasī kī bahū, paṭhaī Khairābāda. // BAk_332 //

aisī bītī Jaũnapura, ihā̃ Āgare mā̃hi.
ghara kī bastu Banārasī, beñci beñci saba khā̃hi. // BAk_333 //

laṭā-kuṭā jo kichu hutau, so saba khāyau jhāri.
haṇḍavāī khāī sakala, rahe ṭakā dvai cāri. // BAk_334 //

taba ghara maĩ baiṭhe rahaĩ, jā̃hi na hāṭa bājāra.
Madhumālati Miragāvatī, pauthī doi udāra. // BAk_335 //

te bāñcahĩ rajanī-samai, āvahĩ nara dasa bīsa.
gāvahĩ aru bātaĩ karahĩ, nita uṭhi dẽhi asīsa. // BAk_336 //

so sāmā ghara maĩ nahī̃, jo prabhāta uṭhi khāi.
eka kacaurī-bāla nara, kathā sunai nita āi. // BAk_337 //

vākī hāṭa udhāra kari, lẽhi kacaurī sera.
yaha prāsuka bhojana karahĩ, nita uṭhi sāñjha sabera. // BAk_338 //

kabahū āvahĩ hāṭa mīhi, kabahū ḍerā mā̃hi.
dasā na kāhū saũ kahaĩ, karaja kacaurī khā̃hi. // BAk_339 //

eka divasa Bānārasī, samai pāi ekanta.
kahai kacaurī-bāla saũ, gupata geha-biratanta. // BAk_340 //

tuma udhāra dīnau bahuta, āgai aba jini dehu.
mere pāsa kichū nahĩ, dāma kahā̃ saũ lehu. // BAk_341 //

kahai kacaurī-bāla nara, bīsa rupayā khāhu.
tuma saũ kou na kachu kahai, jahī bhāvai tahī jāhu. // BAk_342 //

taba cupa bhayau Banārasī, kou na jānai bāta.
kathā kahai baiṭhau rahai, bīte māsa cha-sāta. // BAk_343 //

kahaũ eka dina kī kathā, Tāmbī Tārācanda.
sasura Banārasidāsa kau, Parabata kau pharajanda. // BAk_344 //

āyau rajanī ke samai, Bānārasi ke bhauna.
jaba laũ saba baiṭhe rahe, taba laũ pakarī mauna. // BAk_345 //

jaba saba loga bidā bhae, gae āpane geha.
taba Banārasī saũ kiyau, Tārācanda saneha. // BAk_346 //

kari saneha binatī karī, tuma neute parabhāta.
kāli uhā̃ bhojana karau, āvassika yaha bāta. // BAk_347 //


caupaī

yaha kahi nisi apane ghara gayau. phiri āyau prabhāta jaba bhayau.
kahai Banārasi saũ taba soi. uhā̃ prabhāta rasoī hoi. // BAk_348 //

tātaĩ aba calie isa bāra. bhojana kari āvahu bājāra.
Tārācanda kiyau chala eha. Bānārasī gayau tisa geha. // BAk_349 //

bhejyau eka ādamī koi. laṭā-kuṭā la āyau soi.
ghara kā bhāṛā diyā cukāi. pakare Bānārasi ke pāi. // BAk_350 //
kahai binai saũ Tārā sāhu. isa ghara rahau uhā̃ jina jāhu.
haṭha kari rākhe ḍerā mā̃hi. tahā̃ Banārasi roṭī khā̃hi. // BAk_351 //

ihi bidhi māsa doi jaba gae. Dharamadāsa ke sājhī bhae.
Jasū Amarasī bhāī doi. Osavāla Dila-vālī soi. // BAk_352 //

karahĩ jabāhara-banaja bahūta. Dharamadāsa laghu bandhu kapūta.
kubisana karai kusaṅgati jāi. khovai dāma amala bahu khāi. // BAk_353 //

yaha lakhi kiyau sira kau sañca. dī pūñjī mudrā sai pañca.
Dharamadāsa Bānārasi yāra. doū sīra karahĩ byaupāra. // BAk_354 //

doū phiraĩ Āgare māñjha. karahĩ gasta ghara āvahĩ sāñjha.
lyāvahĩ cū̃nī mānika manī. beñcahĩ bahuri kharīdahĩ ghanī. // BAk_355 //

likhahĩ rojanāmā khatiāi. nāmī bhae loga patiāi.
beñcahĩ lẽhĩ calāvahĩ kāma. die kacaurī-vāle dāma. // BAk_356 //

bhae rupayā caudaha ṭhīka. saba cukāi dīnai tahakīka.
tīni bāra kari dīnaũ māla. haraṣita kiyau kacaurī-bāla. // BAk_357 //


doharā

barasa doi sājhī rahe, phira mana bhayau viṣāda.
taba Banārasī kī calī, manasā Khairābāda. // BAk_358 //

eka divasa Bānārasī, gayau sāhu ke dhāma.
kahai calāū hama bhae, lehu āpane dāma. // BAk_359 //


caupaī

Jasū sāha taba diyau juāba. becahu thailī kau asabāba.
jaba ekaṭhe haũhi saba thoka. hama kaũ dāma dehu taba roka. // BAk_360 //

taba Banārasī becī basta. dāma ekaṭhe kie samasta.
gani dīnaĩ mudrā sai pañca. bākī kachū na rākhī rañca. // BAk_361 //


doharā

barasa doi maĩ doi sai, adhike kie kamāi.
becī bastu bajāra maĩ, baṛhatā gayau samāi. // BAk_362 //

solaha sai sattari samai, lekhā kiyau acūka.
nyāre bhae Banārasī, kari sājhā dvai ṭūka. // BAk_363 //


caupaī

jo pāyā so khāyā sarva. bākī kachū na bāñcyā darva.
karī masakkati gaī akātha. kauṛī eka na lāgī hātha. // BAk_364 //

nikasī ghauṅghī sāgara mathā. bhaī hīṅga-vāle kī kathā.
lekhā kiyā rūkha-tala baiṭhi. pūñjī gaī gāṇṛi maĩ paiṭhi. // BAk_365 //

so Banārasī kī gati bhaī. phiri āī daridratā naī.
barasa ḍeṛha laũ nāce bhale. hvai khālī ghara kaũ uṭhi cale. // BAk_366 //

eka divasa phiri āe hāṭa. ghara saũ cale galī kī bāṭa.
sahaja diṣṭi kīnī jaba nīca. gaṭharī eka parī patha bīca. // BAk_367 //

so Banārasī laī uṭhāi. apane ḍere khālī āi.
moti āṭha aura kichu nā̃hi. dekhata khusī bhae mana mā̃hi. // BAk_368 //

tāita eka gaṛhāyau nayau. motī mele sampuṭa dayau.
bandhyau kaṭi kīnau bahu yatna. janu pāyau cintāmani ratna. // BAk_369 //

antara-dhanu rākhyau nija pāsa. pūraba cale Banārasidāsa.
cale cale āe tisa ṭhā̃u. Kharābāda nāma jahā̃ gā̃u. // BAk_370 //

Kallā sāhu sasura ke dhāma. sandhyā āi kiyau viśrāma.
rajanī banitā pūchai bāta. kahau Āgare kī kusalāta. // BAk_371 //

kahai Banārasi māyā-baina. banitā kahai jhūṭha saba phaina.
taba Banārasī sāñcī kahī. mere pāsa kachū nahĩ sahī. // BAk_372 //

jo kabhu dāma kamāe nae. kharaca khāi phiri khālī bhae.
nārī kahai sunau ho kanta. dukha sukha kau dātā Bhagabanta. // BAk_373 //


doharā

samai pāikai dukha bhayau, samai pāi sukha hoi.
honahāra so hvai rahai, pāpa punna phala doi. // BAk_374 //


caupaī

kahata sunata Argalapura-bāta. rajanī gaī bhayau parabhāta.
lahi ekanta kanta ke pāni. bīsa rupaiyā dīe āni. // BAk_375 //

e maĩ jori dhare the dāma. āe āja tumhāre kāma.
sāhiba cinta na kīja koi. puruṣa jie to saba kachu hoi. // BAk_376 //

yaha kahi nāri gaī mā̃ pāsa. gupata bāta kīnī paragāsa.
mātā kāhū saũ jini kahau. nija putrī kī lajjā bahau. // BAk_377 //


doharā

thore dina maĩ lehu sudhi, to tuma mā maĩ dhīya.
nāhī̃ tau dina kaiku maĩ, nikasi jāigau pīya. // BAk_378 //


caupaī

aisā puruṣa lajālū baṛā. bāta na kahai jāta hai gaṛā.
kahai māi jini hoi udāsa. dvai sai mudrā mere pāsa. // BAk_379 //

gupata deũ tere kara mā̃hi. jo vai bahuri Āgare jā̃hi.
putrī kahai dhanya tū māi. maĩ una kaũ nisi būjhā jāi. // BAk_380 //

rajanī samai madhura mukha bhāsa. banitā kahai Banārasi pāsa.
kanta tumhārau kahā bicāra. ihā̃ rahau kai karau bihāra. // BAk_381 //

Bānārasī kahai tiya pā̃hi. hama tū sātha Jaunapura jā̃hi.
banitā kahai sunahu piya bāta. uhā̃ mahā bipadā utapāta. // BAk_382 //

tuma phira jāhu Āgare mā̃hi. tuma kaũ aura ṭhaura kahũ nā̃hi.
Bānārasī kahai suna tiyā. binu dhana mānuṣa kā dhiga jiyā. // BAk_383 //

de dhīraja phiri bolai bāma. karahu kharīda daiũ maĩ dāma.
yaha kahi dāma āni gani die. bāta gupata rākhī nija hie. // BAk_384 //

taba Banārasī bahurau jage. etī bāta karana kaũ lage.
karaĩ kharīda dhovābaĩ cīra. dūṇṛhaĩ motī mānika hīra. // BAk_385 //

jorahĩ Ajitanātha ke chanda. likhahĩ Nāmamālā bhari banda.
cyārahĩ kāja karahĩ mana lāi. apanī apanī biriyā pāi. // BAk_386 //

ihi bidhi cyāri mahīnẽ gae. cyāri kāja sampūrana bhae.
karī Nāmamālā sai doi. rākhe Ajita chanda ura poi. // BAk_387 //

kaparā dhoi bhayau taiyāra. liyau mola motī kau hāra.
agahana māsa sukala bārasī. cale Āgarai Bānārasī. // BAk_388 //


doharā

bahuraũ āe Āgarai, phirikai dūjī bāra.
taba kaṭale Parabeja ke, āni utāryau bhāra. // BAk_389 //


caupaī

kaṭale mā̃hi sasura kī hāṭa. tahā̃ karahi bhojana kau ṭhāṭha.
rajanī sobahĩ koṭhī mā̃hi. nita uṭhi prāta nakhāse jā̃hi. // BAk_390 //

phari baiṭhahĩ bahu karai upāi. mandā kaparā kachu na bikāi.
āvahi jāhi karahi ati kheda. nahi samujhai bhāvī kau bheda. // BAk_391 //


doharā

motī-hāra liyau hutau, dai mudrā cālīsa.
sau becyau sattari uṭhe, mile rupaiā tīsa. // BAk_392 //


caupaī

taba Banārasī karai bicāra. bhalā jabāhara kā byāpāra.
hue pauna dūnẽ isa mā̃hi. aba sau bastra kharīdahi nā̃hĩ. // BAk_393 //

cyāri māsa laũ kīnau dhandha. nahĩ bikāi kaparā paga bandha.
Bainīdāsa Khobarā gota. tā kau "Dāsa Narottama" pota. // BAk_394 //


doharā

so Banārasī kau hitū, aura Badaliā "Thāna".
rāta divasa krīṛā karahĩ, tīnaũ mitra samāna. // BAk_395 //


caupaī

caṛhi gāṛī para tīnaũ ḍaula. pūjā hetu gae bhara kaula.
kara pūjā phiri jore hātha. tīnaũ janẽ eka hī sātha. // BAk_396 //

pratimā āgai bhākhaĩ ehu. hama kaũ nātha lacchimī dehu.
jaba lacchimī dehu tuma tāta. taba phiri karahĩ tumhārī jāta. // BAk_397 //

yaha kahika āe nija geha. tīnaũ mitra bhae ika deha.
dina aru rāta ekaṭhe rahaĩ. āpa āpanī bātaĩ kahaĩ. // BAk_398 //

āyau phāguna māsa bikhyāta. Bālacanda kī calī barāta.
Tārācanda Mauṭhiyā gota. Nemā kau suta bhayau udota. // BAk_399 //

kahī Banārasi saũ tina bāta. tū calu mere sātha barāta.
taba antara-dhana motī kāṛhi. mudrā tīsa aura dvai bāṛhi. // BAk_400 //

beñci khoñcikai ānai dāma. kīnau taba barāti kau sāma.
cale barāti Banārasidāsa. dūjā mitra Narottama pāsa. // BAk_401 //

mudrā kharaca bhae saba tihā̃. hvai barāta phiri āe ihā̃.
khairābādī kaparā jhāri. becyau ghaṭe rupaiyā cyāri. // BAk_402 //

mūla-byāja dai phārika bhae. taba su Narottama ke ghara gae.
bhojana karakai doū yāra. baiṭhe kiyau paraspara pyāra. // BAk_403 //


doharā

kahai Narottamadāsa taba, rahau hamāre geha.
bhāī saũ kyā bhinnatā, kapaṭī saũ kyā neha. // BAk_404 //


caupaī

taba Banārasī ūtara bhanai. tere ghara saũ mohi na banai.
kahai Narottama mere bhauna. tuma saũ bolai aisā kauna. // BAk_405 //

taba haṭha kari rākhe ghara mā̃hi. bhāī kahai judāī nā̃hi.
kāhū divasa Narottamadāsa. Tārācanda Mauṭhie pāsa. // BAk_406 //

baiṭhe taba uṭhi bole sāhu. tuma Banārasī Paṭanẽ jāhu.
yaha kahi rāsi dei tisa bāra. ṭīkā kāṛhi utāre pāra. // BAk_407 //

āi pāra būjhe dina bhale. tīni puruṣa gāṛī caṛhī cale.
sevaka kou na līnaũ gaila. tīnaũ Sirīmāla nara chaila. // BAk_408 //


doharā

prathama Narottama kau sasura, dutiya Narottamadāsa.
tījā puruṣa Banārasī, cauthā kou na pāsa. // BAk_409 //


caupaī

bhāṛā kiyā Pirojābāda. Sāhijādapura laũ marajāda.
cale Sāhijādepura gae. ratha saũ utari payāde bhae. // BAk_410 //

ratha kā bhāṛā diyā cukāi. sāñjhi āikai base sarāi.
āgai aura na bhāṛā kiyā. sātha eka līyā bojhiyā. // BAk_411 //

pahara ḍeṛha rajanī jaba gaī. taba tahī makara cāndanī bhaī.
ina ke mana āī yaha bāta. kahahĩ calahu hūvā parabhāta. // BAk_412 //

tīnaũ janẽ cale tatakāla. dai sira bojha bojhiyā nāla.
cāraũ bhūli pare patha mā̃hi. dacchina disi jaṅgala maĩ jā̃hi. // BAk_413 //

mahā bījha bana āyau jahā̃. rovana lagyau bojhiyā tahā̃.
bojha ḍāri bhāgyau tisa ṭhaura. jahā̃ na koū mānuṣa aura. // BAk_414 //

taba tīnihu mili kiyau bicāra. tīni bhāga kīnhā saba bhāra.
tīni gāṇṭhi bandhī sama bhāi. līnī tīnihu janẽ uṭhāi. // BAk_415 //

kabahū̃ kāndhai kabahū̃ sīsa. yaha vipatti dīnī jagadīsa.
aradha rātri jaba bhaī bitīta. khina rovaĩ khina gāvaĩ gīta. // BAk_416 //

cale cale āe tisa ṭhā̃u. jahā̃ basai coranha kau gā̃u.
bolā puruṣa eka tuma kauna. gae sūkhi mukha pakarī mauna. // BAk_417 //

inha paramesura kī lau dharī. vaha thā coranha kā caudharī.
taba Banārasī paṛhā siloka. dī asīsa una dīnī dhoka. // BAk_418 //

kahai caudharī āvahu pāsa. tuma Nārāyaṇa maĩ tumha dāsa.
āi basahu merī caupāri. more tumhare bīca Murāri. // BAk_419 //

taba tīnaũ nara āe tahā̃. diyā caudharī thānaka jahā̃.
tīnaũ puruṣa bhae bhaya-bhīta. hiradai mā̃hi kampa mukha pīta. // BAk_420 //


doharā
sūta kāṛhi ḍorā baṭyau, kie janeū cāri.
pahire tīni tihū̃ janẽ, rākhyau eka ubāri. // BAk_421 //

māṭī līnī bhūmi saũ, pānī līnaũ tāla.
bipra bheṣa tīnaũ banaĩ, ṭīkā kīnaũ bhāla. // BAk_422 //


caupaī

pahara doi laũ baiṭhe rahe. bhayau prāta bādara pahapahe.
haya-ārūṛha caudharī-īsa. āyau sātha aura nara bīsa. // BAk_423 //

uni kara jori nabāyau sīsa. ina uṭhikai dīnī āsīsa.
kaha caudharī paṇḍita-rāi. āvahu māraga dehũ dikhāi. // BAk_424 //

parādhīna tīnaũ uṭhi cale. mastaka tilaka janeū gale.
sira para tīnihu līnī poṭa. tīna kosa jaṅgala kī oṭa. // BAk_425 //

gayau caudharī kiyau nibāha. āī Phattepura kī rāha.
kahai caudharī isa maga mā̃hi. jāhu hamahĩ āgyā hama jā̃hi. // BAk_426 //

Phattepura inha rūkhana tale. "ciraṃ jīva" kahi tīnaũ cale.
kosa doi dīsai Lakharā̃u. phira dvai kosa Phatepura-gā̃u. // BAk_427 //

āi Phatepura līnī ṭhaura. doi majūra kie tahā̃ aura.
bahuraũ tyāgi Phatepura-bāsa. gae cha kosa Ilāhābāsa. // BAk_428 //

jāi sarāi utārā liyā. Gaṅgā ke taṭa bhojana kiyā.
Bānārasī nagara mai gayau. Kharagasena kau darasana bhayau. // BAk_429 //

dauri putra naĩ pakare pāi. pitā tāhi līnau ura lāi.
pūchai pitā bāta ekanta. kahyau Banārasi nija biratanta. // BAk_430 //

suta ke bacana hie maĩ dhare. khāi pachāra bhūmi giri pare.
mūrchā-gati āī tatakāla. sukha maĩ bhayau ūcalācāla. // BAk_431 //

gharī cāri laũ besudha rahe. svāsā jagī pheri lahalahe.
Bānārasī Narottamadāsa. ḍolī karī Ilāhābāsa. // BAk_432 //

Kharagasena kīnaũ asabāra. begi utāre Gaṅgā-pāra.
tīnaũ puruṣa piyāde pāi. cale Jaunapura pahuñce āi. // BAk_433 //

Bānārasī Narottama mitta. cale Banārasi banaja-nimitta.
jāi Pāsa-jina pūjā karī. ṭhāṛhe hoi birati uccarī. // BAk_434 //


aḍilla

sāñjha-samai dubihāra, prāta naukārasahi.
eka adhelā punna, nirantara nema gahi.
naukaravālī eka, jāpa nita kījie.
doṣa lagai parabhāta, tau ghīu na lījie. // BAk_435 //


doharā

māraga barata jathā-sakati, saba caudasi upavāsa.
sākhī kīnaũ Pāsa jina, rākhī harī pacāsa. // BAk_436 //

doi bivāha surita dvai, āgaĩ karanī aura.
paradārā-saṅgati tajī, duhū mitra ika ṭhaura. // BAk_437 //

solaha sai ikahattare, sukala paccha baisākha.
birati dharī pūjā karī, mānahu pāe lākha. // BAk_438 //


caupaī

pūjā kari āe nija thāna. bhojana kīnā khāe pāna.
karai kachū byaupāra bisekha. Kharagasena kau āyau lekha. // BAk_439 //

cīṭhī mā̃hi bāta biparīta. bāñcana lāge doū mīta.
Bānārasīdāsa kī bāla. Khairābāda hutī piu-sāla. // BAk_440 //

tā ke putra bhayau tīsarau. pāyau sukha tini dukha bīsarau.
suta jana maĩ dina pandraha hue. mātā bālaka doū mue. // BAk_441 //

prathama bahū kī bhaginī eka. so tina bhejī kiyau viveka.
nāū āni nāriara diyau. so hama bhale mūhūrata liyau. // BAk_442 //

eka bāra e doū kathā. saṇḍāsī luhāra kī jathā.
china mīhi agini chinaka jala-pāta. tyaũ yaha harakha-śoka kī bāta. // BAk_443 //


yaha cīṭhī bāñcī taba dũhū. jugula mitra roe kari uhū̃.
bahutai rudana Banārasi kiyau. cupa hvai rahe kaṭhina kari hiyau. // BAk_444 //

bahuraũ lāge apane kāja. rojagāra kau karana ilāja.
lẽhi dẽhi thorā aru ghanā. cū̃nī mānika motī panā. // BAk_445 //

kabahū̃ eka Jaunapura jāhi. kabahū̃ rahai Banārasa māhi.
doū sakr̥ta rahaĩ ika ṭhaura. ṭhānahĩ bhinna bhinna paga daura. // BAk_446 //

karahĩ masakkati ālasa nā̃hi. pahara tīsare roṭī khā̃hi.
māsa cha sāta gae isa bhānti. bahuraũ kachu pakarī upasānti. // BAk_447 //

ghorā daurahi khāi sabāra. aisī dasā karī karatāra.
Cīnī Kilica Khāna umarāu. tina bulāi dīyau sirapāu. // BAk_448 //


doharā

beṭā baṛo Kilīca kau, cyāra hajārḥ mḥra.
nagara Jaunapura kau dhanī, dātā paṇḍita bīra. // BAk_449 //

Cīnī Kilica Banārasī, doū mile bicitra.
vaha yā saũ kiripā karai, yaha jānai maĩ mitra. // BAk_450 //

ehi bidhi bīte bahuta dina, bītī dasā aneka.
bairī pūraba janama kau, pragaṭa bhayau nara eka. // BAk_451 //

tini aneka bidhi dukha diyau, kahaũ kahā̃ laũ soi.
jaisī uni ina saũ karī, aisī karai na koi. // BAk_452 //


caupaī

Bānārasī Narottamadāsa. duhu kaũ lena na dei usāsa.
doū kheda khinna tini kie. dukha bhī die dāma bhī lie. // BAk_453 //

māsa doi bīte isa bīca. kahū̃ gayau thau Cīni Kilīca.
āyau gaṛha mauvāsā jīti. phiri Banārasī setī prīti. // BAk_454 //


doharā

kabahũ Nāmamālā paṛhai, Chandakosa Srutabodha.
karai kr̥pā nita eka-sī, kabahũ na hoi virodha. // BAk_455 //


caupaī

Bānārasī kahī kichu nā̃hi. pai uni bhaya mānī mana mā̃hi.
taba una pañca bade nara cyāri. tinha cukāi dīnī yaha rāri. // BAk_456 //

cūkyau jhagarā bhayau ananda. jyaũ suchanda khaga chūṭata phanda.
solaha sai bahattarai bīca. bhayau kāla-basa Cīni Kilīca. // BAk_457 //

Bānārasī Narottamadāsa. Paṭanẽ gae banaja kī āsa.
māsa cha sāta rahe usa desa. thorā saudā bahuta kilesa. // BAk_458 //

phiri doū āe nija ṭhā̃u. Bānārasī Jaunapura gā̃u.
ihā̃ banaja kīnau adhikāi. gupata bāta so kahī na jāi. // BAk_459 //


doharā

āu bitta nija gr̥ha-carita, dāna māna apamāna.
auṣadha maithuna mantra nija, e nava akaha-kahāna. // BAk_460 //


caupaī

tātaĩ yaha na kahī vikhyāta. nau bātanha maĩ yaha bhī bāta.
kīnī bāta bhalī aru burī. Paṭanẽ Kāsī Jaunāpurī. // BAk_461 //

rahe barasa dvai tīnihu ṭhaura. taba kichu bhaī aura kī aura.
Āgānūra nāma umarāu. tisa kaũ sāhi diyau sirapāu. // BAk_462 //

so āvatau sunyau jaba sora. bhāge loga gae cahu ora.
taba e doū mitra sujāna. āe nagara Jaunapura thāna. // BAk_463 //

ghara ke loga kahū̃ chipi rahe. doū yāra utara disi bahe.
doū mitra cale ika sātha. pā̃u piyāde lāṭhī hātha. // BAk_464 //

āe nagara Ajodhyā mā̃hi. kīnī jāta rahe tahā̃ nā̃hi.
cale cale Raunā̃hī gae. Dharmanātha ke sevaka bhae. // BAk_465 //


doharā

pūjā kīnī bhagati saũ, rahe gupata dina sāta.
phiri āe ghara kī tarapha, sunī pantha mīha bāta. // BAk_466 //

Āgānūra Banārasī, aura Jaunapura bīca.
kiyau udaṅgala bahuta nara, māre kari adha-mīca. // BAk_467 //

haka nāhaka pakare sabai, jaṛiyā koṭhībāla.
huṇḍībāla sarāpha nara, aru jaũharī dalāla. // BAk_468 //

kāhū māre korarā, kāhū beṛī pāi.
kāhū rākhe bhākhasī, saba kaũ dei sajāi. // BAk_469 //


caupaī

sunī bāta yaha panthika pāsa. Bānārasī Narottamadāsa.
ghara āvata he doū mīta. suni yaha khabari bhae bhaya-bhīta. // BAk_470 //

Surahurapura kaũ bahuraũ phire. caṛhi ghaṛanāī saritā tire.
jaṅgala mā̃hi hutau mauvāsa. jahā̃ jāi kari kīnau bāsa. // BAk_471 //

dina cālīsa rahe tisa ṭhaura. taba laũ bhaī aura kī aura.
Āgānūra gayau Āgare. choṛi die prānī nāgare. // BAk_472 //

nara dvai cāri hute bahu-dhanī. tinha kaũ māri daī ati ghanī.
bāndhi la gayau apane sātha. ika nāhaka jānai Jinanātha. // BAk_473 //

isa antara e doū janẽ. āe nirabhaya ghara āpanẽ.
saba parivāra bhayau ekatra. āyau Sabalasiṅgha kau putra. // BAk_474 //

Sabalasiṅgha Mauṭhiā masanda. Nemīdāsa sāhu kau nanda.
likhyau lekha tina apane hātha. doū sājhī āvahu sātha. // BAk_475 //


doharā

aba pūraba maĩ jini rahau, āvahu mere pāsa.
yaha cīṭhī sāhū likhī, paṛhī Banārasidāsa. // BAk_476 //

aura Narottama ke pitā, likha dīnau biratanta.
so kāgada āyau gupata, uni bāñcyau ekanta. // BAk_477 //

bāñci putra Bānārasī, ke kara dīnau āni.
bāñcahu e cācā likhe, samācāra nija pāni. // BAk_478 //

paṛhane lage Bānārasī, likhī āṭha dasa pānti.
hema-khema tā ke tale, samācāra isa bhānti. // BAk_479 //

Kharagasena Bānārasī, doū duṣṭa viśeṣa.
kapaṭa-rūpa tujha kaũ mile, kari dhūrata kā bheṣa. // BAk_480 //

ina ke mata jo calahigā, tau māṅgahigā bhīkha.
tātaĩ tū husiyāra rahu, yahai hamārī sīkha. // BAk_481 //

samācāra Bānārasī, bāñce sahaja subhāu.
taba su Narottama jori kara, pakare doū pāu. // BAk_482 //

kahai Banārasidāsa saũ, tū bandhava tū tāta.
tū jānahi usa kī dasā, kyā mūrakha kī bāta. // BAk_483 //

taba doū khusahāla hvai, mile hoi ika citta.
tisa dina saũ Bānārasī, nitta sarāhai mitta. // BAk_484 //

rījhi Narottamadāsa kau, kīnau eka kabitta.
paṛhaĩ raina dina bhāṭa-sau, ghara bajāra jita-kitta. // BAk_485 //


savaiyā ikatīsā. Narottamadāsa-stuti

nava-pada dhyāna guna-gāna Bhagavanta-jī kau,
     karata sujāna diṛha-gyāna jaga māniyai.
roma-roma abhirāma dharma-līna āṭhau jāma,
     rūpa-dhana-dhāma kāma-mūrati bakhāniyai.
tana kau na abhimāna sāta kheta deta dāna,
     mahimāna jā ke jasa kau bitāna tāniyai.
mahimā-nidhāna prāna prītama Banārasī kau,
     cahu-pada ādi accharanha nāma jāniyai. // BAk_486 //


caupaī

Bānārasi cintaĩ mana mā̃hi. aiso mitta jagata maĩ nā̃hi.
isa hī bīca calana kau sāja. doū sājhī karahĩ ilāja. // BAk_487 //

Kharagasena-jī jahamati pare. āi asādhi baida naĩ kare.
Bānārasī Narottamadāsa. lāhani kachū karāī tāsa. // BAk_488 //

sambata tihattare baisākha. sātaĩ somavāra sita pākha.
taba sājhe kā lekhā kiyā. saba asabāba bāṇṭikai liyā. // BAk_489 //


doharā

doi rojanāmaĩ kie, rahe duhū ke pāsa.
cale Narottama Āgarai, rahe Banārasidāsa. // BAk_490 //
rahe Banārasi Jaunapura, nirakhi tāta behāla.
jeṭha andherī pañcamī, dina bitīta nisi-kāla. // BAk_491 //

Kharagasena pahuce suraga, kahavati loga vikhyāta.
kahā̃ gae kisa joni maĩ, kahai kevalī bāta. // BAk_492 //

kiyau soka Bānārasī, diyau naina bhari roi.
hiyau kaṭhina kīnau sadā, jiyau na jaga maĩ koi. // BAk_493 //


caupaī

māsa eka bītyau jaba aura. taba phiri karī banaja kī daura.
huṇḍī likhī rajata sai pañca. lie karana lāge paṭa sañca. // BAk_494 //

paṭa kharīdi kīnaũ ekatra. āyau bahuri sāhu kau patra.
likhā Siṅgha-jī cīṭhī mā̃hi. tujha binu lekhā cūkai nāhĩ. // BAk_495 //

tātaĩ tū bhī āu sitāba. maĩ būjhaĩ so dehi juvāba.
Bānārasī sunata biratanta. taji kaparā uṭhi cale turanta. // BAk_496 //

bāmbhana eka nāma Sivarāma. saumpyau tāhi bastra kā kāma.
māsa asāṛha mā̃hi dina bhale. Bānārasī Āgarai cale. // BAk_497 //


doharā

eka turaṅgama naũ naphara, līnẽ sāthi banāi.
nā̃u Ghaisuā gā̃u maĩ, base prathama dina āi. // BAk_498 //

tāhī dina āyau tahā̃, aura eka asabāra.
koṭhībāla Mahesurī, basai Āgarai bāra. // BAk_499 //


caupaī

ṣaṭa sebaka ika sāhiba soi. Mathurā-bāsī bāmbhana doi.
nara unīsa kī jurī jamāti. pūrā sātha milā isa bhānti. // BAk_500 //

kiyau kaula utarahĩ ika-ṭhaura. koū kahū̃ na utarai aura.
cale prabhāta sātha kari gola. khelahĩ haṃsahĩ karahĩ kallola. // BAk_501 //


doharā

gā̃u nagara ullaṅghi bahu, cali āe tisa ṭhā̃u.
jahā̃ Ghaṭamapura ke nikaṭa, basai Korarā gā̃u. // BAk_502 //

utare āi sarāi maĩ, kari ahāra viśrāma.
Mathurā-bāsī bipra dvai, gae ahīrī-dhāma. // BAk_503 //

duhu maĩ bāmbhana eka uṭhi, gayau hāṭa maĩ jāi.
eka rupaiyā kāṛhi tini, paisā lie bhanāi. // BAk_504 //

āyau bhojana sāja le, gayau ahīrī-geha.
phiri sarāpha āyau tahā̃, kahai rupaiyā eha. // BAk_505 //



gairasāla hai badali dai, kahai bipra mama nā̃hi.
terā terā yaũ kahata, bhaī kalaha duhu mā̃hi. // BAk_506 //

Mathurā-bāsī bipra naĩ, māryau bahuta sarāpha.
bahuta loga binatī karī, taū karai nahĩ māpha. // BAk_507 //

bhāī eka sarāpha kau, āi gayau isa bīca.
mukha mīṭhī bātẽ karai, cita kapaṭī nara nīca. // BAk_508 //

tina bāmbhana ke bastra saba, ṭakaṭohe kari rīsa.
lakhe rupaiyā gāṇṭhi maĩ, gini dekhe paccīsa. // BAk_509 //

saba ke āgai phiri kahai, gairasāla saba darva.
kotavāla pai jāike, najari gujārau sarva. // BAk_510 //

bipra jugala misu kari pare, mr̥taka-rūpa dhari mauna.
baniyā sabani dikhāi lai, gayau gāṇṭhi nija bhauna. // BAk_511 //

khare dāma ghara maĩ dhare, khoṭe lyāyau jori.
mihī kothalī mā̃hi bhari, dīnī gāṇṭhi marori. // BAk_512 //

lei kothalī hātha maĩ, kotabāla pai jāi.
khoṭe dāma dikhāikai, kahī bāta samujhāi. // BAk_513 //


caupaī

sāhiba-jī ṭhaga āye ghanẽ. phaile phirahĩ jā̃hi nahĩ ganẽ.
sandhyā-samai haũhi ika ṭhaura. hvai asabāra karahu taba daura. // BAk_514 //

yaha kahi banika nirālo bhayau. kotabāla hākima pai gayau.
kahī bāta hākima ke kāna. hākima sātha diyau dībāna. // BAk_515 //

kotabāla dībāna sameta. sāñjha samai āe jyaũ preta.
purajana loka sāthi sai cāri. janu sarāi maĩ āī dhāri. // BAk_516 //

baiṭhe doū khāṭa bichāi. bāmbhana doū lie bulāi.
pūchai Mugala kahahu tuma kauna. kahai bipra Mathurā mama bhauna. // BAk_517 //

phiri Mahesarī liyau bulāya. kahī tū jāhi kahā̃ saũ āi.
taba so kahe Jaunapura gā̃u. koṭhībāla Āgare jā̃u. // BAk_518 //

phiri Banārasī bolai bola. maĩ jaũharī karaũ mani-mola.
koṭhī hutī Banārasa mā̃hi. aba hama bahuri Āgarai jā̃hi. // BAk_519 //


doharā

sājhī Nemā sāhu ke, takhata Jaunapura bhauna.
byaupārī jaga maĩ prakaṭa, ṭhaga ke lacchana kauna. // BAk_520 //


caupaī

kahī bāta jaba Bānārasī. taba ve kahana lage pārasī.
eka kahai e ṭhaga tahakīka. eka kahai byaupārī ṭhīka. // BAk_521 //

kotavāla taba kahai pukāri. bāndhahu bega karahu kyā rāri.
bolai hākima kau dībāna. ahamaka kotabāla nādāna. // BAk_522 //

rāti samai sūjha nahĩ koi. cora sāhu kī nirakha na hoi.
kachu jina kahau rāti kī rāti. prāta nikasi āvaigī jāti. // BAk_523 //

kotabāla taba kahai bakhāni. tuma ḍhūṇṛhahu apanī pahicāni.
Korarā Ghāṭamapura aru Barī. tīni gā̃u kī sariyati karī. // BAk_524 //

aura gā̃u hama mānahĩ nā̃hi. tuma yaha phikira karahu hama jā̃hi.
cale Mugala bādā badi bhora. caukī baiṭhāī cahu-ora. // BAk_525 //


doharā

Sirīmāla Bānārasī, aru Mahesurī-jāti.
karahĩ mantra doū janẽ, bhaī cha-māsī rāti. // BAk_526 //


caupaī

pahara rāti jaba pichalī rahī. taba Mahesurī aisī kahī.
mero lahurā bhāī Harī. nā̃u su tau byāhā hai Barī. // BAk_527 //

hama āe the ihā̃ barāta. bhalī yādi āī yaha bāta.
Bānārasī kahai re mūṛha. aisī bāta karī kyaũ gūṛha. // BAk_528 //


doharā

taba Mahesurī yaũ kahai, bhaya saũ bhūlī mohi.
aba mo kaũ sumirana bhaī, tū nicinta mana hohi. // BAk_529 //


caupaī

taba Banārasī haraṣita bhayau. kachu ika soca rahyau kachu gayau.
kabahū cita kī cintā bhagai. kabahū bāta jhūṭha-sī lagai. // BAk_530 //

yaũ cintavata bhayau parabhāta. āi piyāde lāge ghāta.
sūlī dai majūra ke sīsa. kotavāla bhejī unaīsa. // BAk_531 //

te sarāi maĩ ḍārī āni. pragaṭa piyāde kahaĩ bakhāni.
tuma unīsa prānī ṭhaga loga. e unīsa sūlī tuma joga. // BAk_532 //


doharā

gharī eka bīte bahuri, kotabāla dībāna.
āe purajana sātha saba, loga karana nidāna. // BAk_533 //


caupaī

taba Banārasī bolai bāni. Barī mā̃hi nikasī pahacāni.
taba dībāna kahai syābāsa. yaha to bāta kahī tuma rāsa. // BAk_534 //

mere sātha calo tuma Barī. jo kichu uhā̃ hoi so kharī.
Mahesurī hūo asabāra. aru dībāna calā tisa lāra. // BAk_535 //

doū janẽ Barī maĩ gae. samadhī mile sāhu taba bhae.
sāhu sāhu-ghara kiyau nivāsa. āyau Mugala Banārasī pāsa. // BAk_536 //

āi kahyau tuma sāñce sāhu. karahu māpha yaha bhayā gunāhu.
taba Banārasī kahai subhāu. tuma sāhiba hākima umarāu. // BAk_537 //

jo hama karma purātana kiyau. so saba āi udai rasa diyau.
bhāvī amiṭa hamārā matā. isa maĩ kyā gunāha kyā khatā. // BAk_538 //

doū Mugala gae nija dhāma. tahī Banārasī kiyau mukāma.
doū bāmbhana ṭhāṛhe bhae. bolahĩ dāma hamāre gae. // BAk_539 //


doharā

pahara eka dina jaba caṛhyau, taba Banārasīdāsa.
sera cha sāta phulela le, gae Mugala ke pāsa. // BAk_540 //

hākima kaũ dībāna kaũ, kotabāla ke geha.
jathā-joga saba kaũ diyau, kīnaũ sabasana neha. // BAk_541 //

taba Banārasī yaũ kahai, āju sarāpha ṭhagāi.
gunahagāra kījai usa hi, dījai dāma maṅgāi. // BAk_542 //

kahai Mugala tujha binu kahaĩ, maĩ kīnhaũ usa khoja.
vaha nija saba hī sātha lai, bhāgā usa hī roja. // BAk_543 //


soraṭhā

milā na kisa ṭhaura, tuma nija ḍere jāi kari.
sirinī bāṇṭahu aura, ina dāmani kī kyā calī. // BAk_544 //


caupaī

taba Banārasī cintai āma. binā jora nahĩ āvahi dāma.
ihā̃ hamārā kichu na basāya. tātaĩ baiṭhi rahai ghara jāya. // BAk_545 //

yaha vicāra kari kīnī duvā. kahī ju honā thā so huvā.
āe apane ḍere mā̃hi. kahī bipra saũ damikā nāhĩ. // BAk_546 //


doharā

bhojana kīnau sabani mili, hūau sandhyā-kāla.
āyau sāhu mahesurī, rahe rāti khusahāla. // BAk_547 //


caupaī

phiri prabhāta uṭhi māraga lage. manahu kāla ke mukha saũ bhage.
dūjai dina māraga ke bīca. sunī Narottama hita kī mīca. // BAk_548 //


doharā

cīṭhī Bainīdāsa kī, dīnī kāhū āni.
bāñcata hī murachā bhaī, kahū̃ pā̃u kahũ pāni. // BAk_549 //

bahuta bhānti Bānārasī, kiyau pantha maĩ soga.
samujhāvai mānai nahī̃, ghire āi bahu loga. // BAk_550 //

lobha mūla saba pāpa kau, dukha kau mūla saneha.
mūla ajīrana byādhi kau, marana mūla yaha deha. // BAk_551 //

jyaũ tyaũ kara samujhe bahuri, cale hohi asabāra.
krama krama āe Āgarai, nikaṭa nadī ke pāra. // BAk_552 //

tahā̃ bipra doū bhae, āṛe māraga bīca.
kahahĩ hamāre dāma binu, bhaī hamārī mīca. // BAk_553 //


caupaī

kahī sunī bahuterī bāta. doū bipra karaĩ apaghāta.
taba Banārasī soci bicāri. dīnaĩ dāmani meṭī rāri. // BAk_554 //


doharā

bāraha die mahesurī, teraha dīnaĩ āpa.
bāmbhana gae asīsa dai, bhae banika niṣpāpa. // BAk_555 //

apane apane geha saba, āe bhae nicīta.
roe bahuta Banārasī, hāi mīta hā mīta. // BAk_556 //

gharī cāri roe bahuri, lage āpane kāma.
bhojana kari sandhyā samaya, gae sāhu ke dhāma. // BAk_557 //

caupaī

āvīhi jā̃hi sāhu ke bhauna. lekhā kāgada dekhai kauna.
baiṭhe sāhu bibhau-madamānti. gāvahĩ gīta kalāvata-pānti. // BAk_558 //

dhurai pakhāvaja bājai tānti. sabhā sāhijāde kī bhānti.
dījahi dāna akhaṇḍita nitta. kavi bandījana paṛhahi kabitta. // BAk_559 //

kahī na jāi sāhibī soi. dekhata cakita hoi saba koi.
Bānārasī kahai mana mā̃hi. lekhā āi banā kisa pā̃hi. // BAk_560 //

sevā karī māsa dvai cāri. kaisā banaja kahā̃ kī rāri.
jaba kahie lekhe kī bāta. sāhu juvāba dehi parabhāta. // BAk_561 //

māsī gharī cha-māsī jāma. dina kaisā yaha jānai Rāma.
sūraja udai asta hai kahā̃. viṣayī viṣaya-magana hai jahā̃. // BAk_562 //


doharā

ehi bidhi bīte bahuta dina, eka divasa isa rāha.
cācā Benīdāsa ke, āe Aṅgā Sāha. // BAk_563 //

Aṅgā caṅgā ādamī, sajjana aura bicitra.
so bahaneū Siṅgha ke, Bānārasi kā mitra. // BAk_564 //

tā saũ kahī Banārasī, nija lekhe kī bāta.
bhaiyā hama bahutai dukhī, dukhī Narottama tāta. // BAk_565 //

tātaĩ tuma samujhāikai, lekhā ḍārahu pāri.
agilī phārakatī likhau, pichilo kāgada phāri. // BAk_566 //


caupaī

taba tisa hī dina Aṅganadāsa. āe Sabalasiṅgha ke pāsa.
lekhā kāgada lie maṅgāi. sājhā pātā diyā cukāi. // BAk_567 //

phārakatī likhi dīnī doi. bahurau sukhuna karai nahĩ koi.
matā likhāi duhū pai liyā. kāgada hātha duhū kā diyā. // BAk_568 //

nyāre nyāre doū bhae. āpa apane ghara uṭhi gae.
solaha sai tihattare sāla. agahana kr̥ṣṇa-pakṣa hima-kāla. // BAk_569 //



liyā Banārasi ḍerā judā. āyā punya karama kā udā.
jo kaparā thā bāmbhana hātha. so uni bhejyā āche sātha. // BAk_570 //

āī Jaunapurī kī gāṇṭhi. dhari līnī lekhe mṇ sāṇṭhi.
nita uṭhi prāta nakhāse jā̃hi. beci milāvahĩ pūñjī mā̃hi. // BAk_571 //

isa hī samaya īti bistarī. parī Āgarai pahilī marī.
jahā̃ tahā̃ saba bhāge loga. paragaṭa bhayā gāṇṭhi kā roga. // BAk_572 //

nikasai gāṇṭhi marai china mā̃hi. kāhū kī basāi kichu nā̃hi.
cūhe marahĩ baida mari jā̃hi. bhaya saũ loga īna nahĩ khā̃hi. // BAk_573 //

nagara nikaṭa bāmbhana kā gā̃u. sukhakārī Ajījapura nā̃u.
tahā̃ gae Bānārasidāsa. ḍerā liyā sāhu ke pāsa. // BAk_574 //

rahahĩ akele ḍere mā̃hi. garbhita bāta kahana kī nā̃hi.
kumati eka upajī tisa thāna. pūraba-karma-udai paravā̃na. // BAk_575 //

marī nibartta bhaī bidhi joga. taba ghara ghara āe saba loga.
āe dina ketika ika bhae. Bānārasī Amarasara gae. // BAk_576 //

uhā̃ Nihālacanda kau byāha. bhayau bahuri phiri pakarī rāha.
āe nagara Āgare mā̃hi. Sabalasiṅgha ke āvahĩ jā̃hi. // BAk_577 //


doharā

hutī ju mātā Jaunapura, so āī suta pāsa.
Khairābāda bivāhakaũ,cale Banārasidāsa. // BAk_578 //


caupaī

kari bivāha āe ghara mā̃hi. manasā bhaī jāta kaũ jā̃hi.
Baradhamāna Kũarajī dalāla. calyau saṅgha ika tinha ke nāla. // BAk_579 //

Ahichattā-Hathanāpura-jāta. cale Banārasi uṭhi parabhāta.
mātā aura bhārajā saṅga. ratha baiṭhe dhari bhāu abhaṅga. // BAk_580 //

pacahattare poha subha gharī. Ahichatte kī pūjā karī.
phiri āe Hathanāpura jahā̃. Sānti Kunthu Ara pūje tahā̃. // BAk_581 //


doharā

Sānti-Kuntha-Ara-nātha kau, kīnau eka kabitta.
tā kaũ paṛhai Banārasī, bhāva bhagati saũ nitta. // BAk_582 //


chappai

śrī Bisasena naresa, Sūra nr̥pa rāi Sudaṃsana.
Acirā Siriā Devi, karahĩ jisa deva prasaṃsana.
tasu nandana sāraṅga, chāga nandāvata lañchana.
cālisa paintisa tīsa, cāpa kāyā chabi kañcana.
sukha-rāsi Banārasidāsa bhani, nirakhata mana ānandaī.
Hathināpura Gajapura Nāgapura, Sānti Kuntha Ara bandaī. // BAk_583 //


caupaī

karī jāta mana bhayau uchāha. phiryau saṅgha Dillī kī rāha.
āī Meraṭhi pantha bicāla. tahā̃ Banārasī kī nhana-sāla. // BAk_584 //

utarā saṅgha koṭa ke tale. taba kuṭumba jātrā kari cale.
cale cale āe bhara Kola. pūjā karī kiyau thau kaula. // BAk_585 //

nagara Āgarai pahuce āi. saba nija nija ghara baiṭhai jāi.
Bānārasī gayau pausāla. sunī jatī śrāvaka kī cāla. // BAk_586 //

bāraha brata ke kie kabitta. aṅgīkāra kie dhari citta.
caudaha nema sambhālai nitta. lāgai doṣa karai prāchitta. // BAk_587 //

nita sandhyā paṛikaunā karai. dina dina brata biśeṣatā dharai.
gahai jaina mithyā-mata bamai. putra eka hūvā isa samai. // BAk_588 //

chihattare sambata āsāṛha. janamyau putra dharama-ruci bāṛha.
barasa eka bītyau jaba aura. mātā marana bhayau tisa ṭhaura. // BAk_589 //

satahattare samai mā marī. jathā-sakati kachu lāhani karī.
unāsie suta aru tiya muī. tījī aura sagāī huī. // BAk_590 //

Begā sāhu Kūkaṛī gota. Khairābāda tīsarī pota.
samaya assie byāhana gae. āe ghara gr̥hastha phiri bhae. // BAk_591 //

taba tahā̃ mile Arathamala Ḍhora. karaĩ Adhyātama bātaĩ jora.
tini Banārasī saũ hita kiyau. Samaisāra Nāṭaka likhi diyau. // BAk_592 //

Rājamalla naĩ ṭīkā karī. so pothī tini āgai dharī.
kahai Banārasi saũ tū bāñcu. tere mana āvegā sāñcu. // BAk_593 //

taba Banārasi bāñcai nitta. bhāṣā aratha bicārai citta.
pāvai nehī̃ adhyātama peca. mānai bāhija kiriā heca. // BAk_594 //


doharā

karanī kau rasa miṭi gayau, bhayau na ātama-svāda.
bhaī Banārasi kī dasā, jathā ūṇṭha kau pāda. // BAk_595 //


caupaī

bahuraũ camatkāra cita bhayau. kachu vairāga bhāva parinayau.
Gyānapacīsī kīnī sāra. Dhyānabatīsī dhyāna vicāra. // BAk_596 //

kīnaĩ Adhyātama ke gīta. bahuta kathana bibahāra-atīta.
Sivamandira ityādika aura. kabita aneka kie tisa ṭhaura. // BAk_597 //

japa tapa sāmāyika paṛikauna. saba karanī kari ḍārī bauna.
harī-birati līnī thī joi. soū miṭī na paramiti koi. // BAk_598 //

esī dasā bhaī ekanta. kahaũ kahā̃ laũ so biratanta.
binu ācāra bhaī mati nīca. Sāṅgānera cale isa bīca. // BAk_599 //

Bānārasī barātī bhae. Tipuradāsa kaũ byāhana gae.
byāhi tāhi āe ghara mā̃hi. deva-caṛhāyā nebaja khā̃hi. // BAk_600 //

kumatī cāri mile mana mela. khelā paijārahu kā khela.
sira kī pāga laĩhi saba chīni. eka eka kaũ mārahĩ tīni. // BAk_601 //


doharā

Candrabhāna Bānārasī, Udaikarana aru Thāna.
cāraũ khelahĩ khela phiri, karahĩ adhyātama gyāna. // BAk_602 //

nagana hṇhĩ cāraũ janẽ, phirahĩ koṭharī mā̃hi.
kahahĩ bhae muni-rāja hama, kachū parigraha nā̃hi. // BAk_603 //

gani gani mārahĩ hātha saũ, mukha saũ karahĩ pukāra.
jo gumāna hama karata he, tā ke sira paijāra. // BAk_604 //

gīta sunaĩ bātaĩ sunaĩ, tā kī biṅga banāi.
kahaĩ adhyātama maĩ aratha, rahaĩ mr̥ṣā lau lāi. // BAk_605 //


caupaī

pūraba karma udai sañjoga. āyau udaya asātā bhoga.
tātaĩ kumata bhaī utapāta. koū kahai na mānai bāta. // BAk_606 //

jaba laũ rahī karma-bāsanā. taba laũ kauna bithā nāsanā.
asubha udaya jaba pūrā bhayā. sahajahi khela chūṭi taba gayā. // BAk_607 //
kahahĩ loga śrāvaka aru jati. Bānārasī khosarāmatī.
tīni puruṣa kī calai na bāta. yaha paṇḍita tātaĩ vikhyāta. // BAk_608 //

nindā thuti jaisī jisa hoi. taisī tāsu kahai saba koi.
purajana binā kahe nahi rahai. jaisī dekhai taisī kahai. // BAk_609 //


doharā

sunī kahai dekhī kahai, kalapita kahai banāi.
durārādhi e jagata jana, inha saũ kachu na basāi. // BAk_610 //


caupaī

jaba yaha dhūma-dhāma miṭi gaī. taba kachu aura avasthā bhaī.
jina-pratimā nindai mana mā̃hi. bhukha saũ kahai jo kahanī nā̃hi. // BAk_611 //

karai barata guru sanamukha jāi. phiri bhānahi apane ghara āi.
khāhi rāta dina pasu kī bhānti. rahai ekanta mr̥ṣā-madamānti. // BAk_612 //


doharā

yaha Banārasī kī dasā, bhaī dinahu dina gāṛha.
taba sambata caurāsiyā, āyau māsa asāṛha. // BAk_613 //

bhayau tīsarī nāri kai, prathama putra avatāra.
divasa kaiku rahi uṭhi gayau, alapa-āyu saṃsāra. // BAk_614 //


caupaī

chatrapati Jahāṅgīra Dillīsa. kīnau rāja barasa bāīsa.
Kāsamīra ke māraga bīca. āvata huī acānaka mīca. // BAk_615 //

māsi cāri antara paravā̃na. āyau Sāhi Jihā̃ sulatāna.
baiṭhyau takhata chatra sira tāni. cahū cakka maĩ pherī āni. // BAk_616 //


doharā

solaha sai caurāsie, takhata Āgare thāna.
baiṭhyau nāma dharāya prabhu, sāhiba Sāhi Kirāna. // BAk_617 //

phiri sambata paccāsie, bahuri dūsarī bāra.
bhayau Banārasi ke sadana, dutiya putra avatāra. // BAk_618 //


caupaī

barasa eka dvai antara kāla. kathā-śeṣa hūau so bāla.
alapa āu hvai āvahĩ jā̃hi. phira satāsie sambata mā̃hi. // BAk_619 //

Bānārasīdāsa ābāsa. tritiya putra hūau paragāsa.
unāsie putrī avatarī. tina āūṣā pūrī karī. // BAk_620 //

saba suta sutā marana-pada gahā. eka putra koū dina rahā.
so bhī alapa āu jānie. tātaĩ mr̥taka-rūpa mānie. // BAk_621 //

krama krama bītyau ikyānavā. āyau solaha sai bānavā.
taba tā̃ī dhari pahilī dasā. Bānārasī rahyau ikarasā. . // BAk_622 //

doharā

ādi assiā bānavā, anta bīca kī bāta.
kachu auraũ bākī rahī, so aba kahaũ bikhyāta. // BAk_623 //

cale barāta Banārasī, gae Cātasū gā̃u.
Bacchā-suta kaũ byāhakai, phiri āe nija ṭhā̃u. // BAk_624 //

aru isa bīci kabīsurī, kīnī bahuri aneka.
nāma Suktimukatāvalī, kie kabita sau eka. // BAk_625 //

Adhyātamabattīsikā, Paiṛī, Phāgu dhamāla.
kīnī Sindhucaturdasī, phūṭaka kabita rasāla. // BAk_626 //
Śivapaccīsī bhāvanā, Sahasa aṭhottara nāma.
Karamachatīsī, Jhūlanā, antara Rāvana Rāma. // BAk_627 //

baranī Āṅkhaĩ doi bidhi, kari bacanikā doi.
aṣṭaka, gīta bahuta kie, kahaũ kahā laũ soi. // BAk_628 //

solaha sai bānavai laũ, kiyau niyata-rasa-pāna.
pai kabīsurī saba bhaī, syādavāda-paravā̃na. // BAk_629 //

anāyāsa isa hī samaya, nagara Āgare thāna.
Rūpacanda Paṇḍita gunī, āyau āgama-jāna. // BAk_630 //


caupaī

Tihunā sāhu dehurā kiyā. tahā̃ āi tini ḍerā liyā.
saba Adhyātamī kiyau bicāra. grantha bañcāyau Gomaṭasāra. // BAk_631 //

tā maĩ gunathānaka paravā̃na. kahyau gyāna aru kriyā-bidhāna.
jo jiya jisa gunathānaka hoi. taisī kriyā karai saba koi. // BAk_632 //

bhinna bhinna bibarana bistāra. antara niyata bahira bibahāra.
saba kī kathā sabai bidhi kahī. sunikai saṃsai kachuva na rahī. // BAk_633 //

taba Banārasī aurai bhayau. syādavāda parinati parinayau.
Pāṇḍe Rūpacanda gura pāsa. sunyau grantha mana bhayau hulāsa. // BAk_634 //

phiri tisa samai barasa dvai bīca. Rūpacanda kaũ āī mīca.
suni suni Rūpacanda ke baina. Bānārasī bhayau diṛha jaina. // BAk_635 //


doharā

taba phiri aura kabīsurī, karī adhyātama mā̃hi.
yaha vaha kathanī eka-sī, kahũ virodha kichu nā̃hi. // BAk_636 //

hr̥dai mā̃hi kachu kālimā, hutī sara-dahana bīca.
soū miṭi samatā bhaī, rahī na ūñca na nīca. // BAk_637 //


caupaī

aba samyak-darasana unamāna. pragaṭa rūpa jānai Bhagavāna.
solaha sai tirānavai varṣa. Samaisāra Nāṭaka dhari harṣa. // BAk_638 //

bhāṣā kiyau bhāna ke sīsa. kabita sāta sai sattāīsa.
anekānta paranati parinayau. sambata āi chānavā bhayau. // BAk_639 //

taba Banārasī ke ghara bīca. tritiya putra kaũ āī mīca.
Bānārasī bahuta dukha kiyau. bhayau soka saũ byākula hiyau. // BAk_640 //

jaga maĩ moha mahā balabāna. karai eka sama jāna ajāna.
barasa doi bīte isa bhānti. taū na moha hoi upasānti. // BAk_641 //


doharā

kahī pacāvana barasa laũ, Bānārasi kī bāta.
tīni bivāhī̃ bhārajā, sutā doi suta sāta. // BAk_642 //

nau bālaka hūe mue, rahe nāri nāri nara doi.
jyaũ taravara patajhāra hvai, rahaĩ ṭhūṇṭha-se hoi. // BAk_643 //

tattva-dr̥ṣṭi jo dekhie, satyā-ratha kī bhānti.
jyaũ jā kau parigaha ghaṭai, tyaũ tā kaũ upasānti. // BAk_644 //

saṃsārī jānai nahī̃, satyā-ratha kī bāta.
parigaha saũ mānai bibhau, parigaha bina utapāta. // BAk_645 //

aba Banārasī ke kahaũ, baratamāna guna doṣa.
vidyamāna pura Āgare, sukha saũ rahai sa-joṣa. // BAk_646 //


caupaī

bhāṣā-kabita adhyātama mā̃hi. paṭatara aura dūsarau nā̃hi.
chamāvanta santoṣī bhalā. bhalī kabita paṛhive kī kalā. // BAk_647 //

paṛhai saṃsakr̥ta prākr̥ta suddha. vividha-desabhāṣā-pratibuddha.
jānai sabada aratha kau bheda. ṭhānai nahī jagata kau kheda. // BAk_648 //

miṭha-bolā saba hī saũ prīti. jaina-dharama kī diṛha paratīti.
sahanasīla nahĩ kahai kubola. suthira-citta nahĩ ḍāvāṇḍola. // BAk_649 //

kahai sabani saũ hita upadesa. hr̥dai suṣṭa na duṣṭatā lesa.
para-ramanī kau tyāgī soi. kubisana aura na ṭhānai koī. // BAk_650 //

hr̥daya suddha samakita kī ṭeka. ityādika guna aura aneka.
alapa jaghanna kahe guna joi. nahi utakiṣṭa na nirmala koi. // BAk_651 //


atha doṣa-kathana

kahe Banārasi ke guna jathā. doṣa-kathā aba baranaũ tathā.
krodha māna māyā jala-rekha. pai lachimī kau lobha bisekha. // BAk_652 //

potai hāsa karma kā udā. ghara saũ huvā na cāhai judā.
karai na japa tapa sañjama rīti. nahī dāna-pūjā saũ prīti. // BAk_653 //

thore lābha harakha bahu dharai. alapa hāni bahu cintā karai.
mukha avadya bhāṣata na lajāi. sīkhai bhaṇḍa-kalā mana lāi. // BAk_654 //

bhākhai akatha-kathā biratanta. ṭhānai nr̥tya pāi ekanta.
anadekhī anasunī banāi. kukathā kahai sabhā mīhi āi. // BAk_655 //

hoi nimagna hāsa rasa pāi. mr̥ṣā-vāda binu rahā na jāi.
akasmāta bhaya byāpai ghanī. aisī dasā āi kari banī. // BAk_656 //

kabahū̃ doṣa kabahũ guna koi. jā kau udau so paragaṭa hoi.
yaha Banārasī-jī kī bāta. kahī thūla jo hutī bikhyāta. // BAk_657 //

aura jo sūchama dasā ananta. tā kī gati jānai Bhagavanta.
je je bātaĩ sumirana bhīī. te te bacana-rūpa parinīī. // BAk_658 //

je būjhī pramāda iha mā̃hi. te kāhū pai kahī na jā̃hi.
alapa thūla bhī kahai na koi. bhāṣai so ju kevalī hoi. // BAk_659 //


doharā

eka jīva kī eka dina, dasā hohi jetīka.
so kahi sakai na kevalī, jānai jadyapi ṭhīka. // BAk_660 //

mana-para-jai-dhara abadhi-dhara, karahĩ alapa cintauna.
hama-se kīṭa pataṅga kī, bāta calāvai kauna. // BAk_661 //

tātaĩ kahata Banārasī, jī kī dasā apāra.
kachū thūla maĩ thūla-sī, kahī bahira bibahāra. // BAk_662 //

barasa pañca pañcāsa laũ, bhākhyau nija biratanta.
āgai bhāvī jo kathā, so jānai Bhagavanta. // BAk_663 //

barasa pacābana e kahe, barasa pacābana aura.
bākī mānuṣa āu maĩ, yaha utakiṣṭī daura. // BAk_664 //

barasa eka sau dasa adhika, paramita mānuṣa āu.
solaha sai aṭṭhānabai, samai bīca yaha bhāu. // BAk_665 //

tīni bhānti ke manuja saba, manuja-loka ke bīca.
baratahĩ tīnaũ kāla maĩ, uttama madhyama nīca. // BAk_666 //


atha uttama nara yathā

je para-doṣa chipāikai, para-guna kahaĩ viśeṣa.
guna taji nija dūṣana kahaĩ, te nara uttama bheṣa. // BAk_667 //


atha madhyama nara yathā

je bhākhahĩ para-doṣa-guna, aru guna-doṣa sukīu.
kahahĩ sahaja te jagata maĩ, hama-se madhyama jīu. // BAk_668 //


atha adhama nara yathā

je para-doṣa kahaĩ sadā, guna gopahĩ ura bīca.
doṣa lopi nija guna kahaĩ, te jaga maĩ nara nīca. // BAk_669 //

solaha sai aṭṭhānabai, sambata agahana-māsa.
somabāra tithi pañcamī, sukala pakṣa paragāsa. // BAk_670 //

nagara Āgare maĩ basai, jaina-dharma Śrīmāla.
Bānārasī Biholiā, adhyātamī rasāla. // BAk_671 //


caupaī

tā ke mana āī yaha bāta. apanau carita kahaũ bikhyāta.
taba tini barasa pañca pañcāsa. paramita dasā kahī mukha bhāsa. // BAk_672 //

āgai ju kachu hoigī aura. taisī samujhaĩge tisa ṭhaura.
baratamāna nara-āu bakhāna. barasa eka sau dasa paravā̃na. // BAk_673 //


doharā

tātaĩ aradha kathāna yaha, Bānārasī caritra.
duṣṭa jīva suni haṃsahĩge, kahahĩ sunahĩge mitra. // BAk_674 //

saba dohā aru caupāī, cha sai picattari māna.
kahahĩ sunahĩ bāñcahĩ paṛhahĩ, tina saba kau kalyāṇa. // BAk_675 //